Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaDhamkioun aur badmashioun ke zareya kisi qanoon ko nafiz nahi kiya ja...

Dhamkioun aur badmashioun ke zareya kisi qanoon ko nafiz nahi kiya ja sakta : K. Chandra Bose

Kalkata: BJP ki maghribi Bengal unit ke naib sadar aur inqalabi rehnuma Nitaji subhash Chandra Bose ke pote K Chandra  Bose ne musalmanoun ko Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) ke dairay mein laane ka mutalba kiya hai. Aur party ke khilaaf yaksar mukhalifat ki hai, Aur kaha hai ke dhamkian day kar is qanoon ka nifaz nahi kiya ja sakta.

Bose ne kaha ”Pure Hindustan mein jari tehreek ko bohat aasani se hal kiya ja sakta hai, Agar aap wazeh tor par ye elaan karte hain ke koi bhi, Hindu, Musalman, Sikh aur Isaai, CAA ke zariye shehriat haasil kere ga“.

Pichlle mahinay parliament mein manzoor honay wala CAA 3 mumulk, Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh ke muhajreen Hindu, Esaioun, Sikhnoun, Parsyoun, Jainoun aur Budhist ko hindustani shehriat deta hai.

10 January se nafiz honay walay is qanoon ki mulk bhar mein mukhalifat ho rahi hai, Aur mulk ke kayi reyastoun mein hazaroun talba sadak par nikal aeye hain. Civil society ke membraan, BJP mukhalif siyasi jamaatoun aur aam awam, Aur khaskar khawateen bhi un qawaneen ke khilaaf ehtijaj mein shaamil ho ye hain.

Chandra ke Bose chahtay hain ke un ki party is muamlay par awam ke paas jaye. Unhoun ne kaha ”hamen logoun ke paas jana hoga aur un se baat cheet karni hogi. Aap dhamkioun aur badmashioun ke zareya kisi qanoon ko nafiz nahi kar satke hin“. Unhoun ne kaha ke, BJP jaisi party ke liye muzahireen par hamla karne ke liye tanz amaiz alfaaz ka istemaal karna qabil qubool nahi hai.

Unhoun ne kaha ke ”Sirf is wajah se ke hamaray paas Rajya Sabha aur Lok Sabha dono mein tadaad hai, Is ka ye matlab nahi ke hum is terhan ke jarehana muaqqaf apnane ke liye azad hain. Aaj hum hukoomat mein hain, Kal nahi honge“. –YTN STAFF