Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaDevandra Fadnavis ko Supreme court se jhatka

Devandra Fadnavis ko Supreme court se jhatka

New Delhi : Supreme court ne Maharashtra ke cheif minister Devandra Fadnavis ko jhatka dete hue kaha ke nichli adalat unke khilaaf dair muqadmay par naye suray se ghor kare. Cheif justice Ranjan Gogoi ki sadarat wali bench ne bombay high court ke faislay ko mustard karte hue yeh hukum diya.

High Court ne unki ye sitaish arzi kharij kardi thi ke jis mein unhon ne fadnavis ke zareya intikhabi halaf naamon mein mujremana maamlon ki baat chupaney ke liye un ka intikhab mansookh karwane ka mutalba kiya tha. is ke baad unke ne Supreme court ka rukh kiya tha .

Darkhwast guzaron ka ilzaam tha ke fadnavis ne saal 2014 assembly intikhabaat mein apne oopar 2 zair-e-ghor mujremana muqadmaat ki tafseelaat chhupayi thi. wazeh rahay ke fadnavis par saal 2014 ke intikhabi halaf naame mein do mujremana muqadmoun ki tafseelaat chupaney ka ilzaam hai. yeh do muqadmay Nagpur ke hain jin mein ek hattak izzat aur dosra dhoka dahi ka hai. arzi mein fadnavis ko na ahal qarar dainay ka mutalba kiya gaya tha.

Muamlay ki samaat ke douran fadnavis ki janib se kaha gaya ke chief minister aur siyasi afraad ke khilaaf 100 muqadmay rehtay hain. kisi ke intikhabi halaf naame mein nah dainay par karwai nahi hosakti. wahein darkhwast guzaron ki janib se kaha gaya ke unhon ne intikhabi halaf naame mein yeh baat chhupayi hai is liye karwai honi chahiye. adalat ne pucha tha ke tafseel jaan boojh kar chhupayi gayi hai ya phir ghalti se hua, is muamlay ko kyun nah trial ke liye bheja jaye. –YTN STAFF