Deoband: Hindustan mein Islami mazhabi taleem ke mashhoor ow maroof idaara Darul uloom Deoband ki imarat par bohat jald qaumi parcham lehrata huva nazar aasakta hai kyunkay is khisos mein zila intizamia darul uloom ke zimma daraan se baat cheet kar raha hai aur agar edare ke zimma daraan intizamia ke mashwaray par amal karne ko manzoori day di to Darul Uloom ki imarat par lehrata huva qaumi parcham Deoband ki shaan mein chaar chaand lagade ga.
Zila Saharanpur ke commissioner Sanjay Kumar ne ek guftagu ke douran kaha ke Deoband high way par taqreeban 4 Kilometer taweel Flyover majood hai aur intizamia chahta hai, Flayover se guzarnay walay hazaroun afraad Deoband ke kisi khaas maqam aur bulandi par lehratey hue Tringe ka nazarah dekhen. Is maqsad ke liye D.M Alok Pande darul uloom ke zimma daraan se is silsila mein baat cheet kar rahay hain. Deoband ki imarat par tirangaa lehraane ka asal maqsad yahan kuch arsa qabal ek shandaar aur Multi story library ki imarat taamer ki gayi hai aur agar tirangaa is imarat ke balai hissa par lagadiya jaye to Deoband ki shohrat aur hesiyat dono mein izafah hoga.
DMK bamujab intizamia ye chahta hai ke Deoband mein 24 ghantay qaumi parcham lehrata huva nazar aeye is liye is kaam ko bohat jadl karlena chahiye. Umeed hai ke is silsila mein darul uloom intizamia bharpor taavon kere gi. Ohdedaroun ke mutabiq aisa karne se Darul uloom ki shaan o Shaukat aur shohrat mein bhi chaar chaand lag jaye ga. D.M ne kaha hai ke Deoband jaisay hassas ilaqay mein bohat jald kotwali ki nai imarat tayar karaye jaye gi, Is ke ilawa Railway road par sanati mehakma ki bekar padi hui araazi par tehseel imarat taamer ki jaye gi.
Ijlaas ke douran is baat ka faisla kya jaye ga tehseel aur kotwali ki emiratein tang galiyo se baher khuli jagah par taamer ki jayen. Is se qabal bhi is terhan ki koshishen ki jachki hain unhoun ne kaha ke Deoband ke SDM Rakesh Kumar ko munasib jagah talaash karne aur nai tamirat ki mansoobah saazi karne ke liye kaha gaya hai. –YTN STAFF