Deoband: BJP hukoomat ki janib se kalay qanoon ke nifaz ke baad se Hindustan ke ahem maqamat par khawateen ke ehtijaj ne saari duniya ki tavajja apni janib mabzol karli hai jin mein jahan shaheen baagh ko pehla maqam haasil hai to wahein Hindustan ki azaadi ki jung ki tareekh mein sunehri alfaaz se likhay jaane walay maqam Deoband ki eidgah mein khawateen ke ehtijaj ne apni ahmiyat ka loha manwalya hai.
CAA, NPR aur mujawaza NRC ke khilaaf deoband ke eidgah maidan mein jari khawateen ke satyagrah ke 16th din bhi hazaron ki tadaad mein bilaa mazhab wo millat khawateen, ladkiyon aur talbat ne shirkat ki aur yeh pegham diya ke qaumi shehriat tarmeemi qanoon, NRC aur NPR dastoor ki Sarih khilaaf warzi hai aur kisi bhi haal mein na qabil-e-qubool hai. dukhtran millat ne is ehtijaj ke douran apni taqarir, naaron aur inqilabai shairi ke zareya sab ko mutasir kya. all India muslim majlis mushawarat ki naib sadar aur mutadid muslim khawateen tanzeemon se wabsta Uzma nahid ne jaye ehtijaj pohanch kar khawateen ke is ehtijaj ko tareekhi iqdaam qarar dete hue kaha ke mulk ke dastoor ko bachanay ke liye khawateen ka yeh iqdaam qabil-e-sataish hai. Uzma nahid ne mazid kaha ke mulk ki maeeshat ICU mein chali gayi hai, maeeshat ka ilaaj karte hue is ko mustahkam karne ke bajaye markazi hukoomat ghair aini qawaneen nafiz karne mein lagi hui hai. unhon ne kaha ke air India , BSNL, railways, BPCL, koyla ki kankni, LIC ke alawa deegar markazi idaron ko waqfa waqfa se khangiyana ki patri par chhorhdiya gaya hai. markaz ki fashst hukoomat awam ke darmiyan nafrat aur mulk mein afra tafri paeda karne aur awam ki tavajja dar paish masail se hataane ke maqsad se un siyah qawaneen ko layi hai .
Un qawaneen se mustaqbil mein mulk ka Sharazah bakhernay ka andesha hai. Uzma naheed ne kaha ke is mulk ko engrazeo se azad karne mein musalmanoon ke alawa ulama ka ahem rule raha hai lekin markazi hukoomat aksriti tabqa ko yeh ta-assur dainay ki koshish kar rahi hai ke musalman is mulk mein dosray darjah ka shehri hai jo durust nahi hai. unhon ne kaha ke markazi hukoomat ki ghalat palisyon se mulk aaj intahi naazuk daur se guzar raha hai, maeeshat tabah ho rahi hai is par mutanazia qawaneen NPR aur si ae ae nafiz karkay awam ki tavajja ahem masail se hataane ki koshish ki ja rahi hai jis mein hukoomat bohat had taq kamyaab bhi ho chuki hai kyunkay ab koi mehengai, be rozgari aur tabah hoti maeeshat ki baat nahi kar raha hai har jagah sirf aur sirf NRC par hi baat ho rahi hai.
Unhon ne kaha ke mulk ke koonay koonay se siyah qawaneen ki mukhalfat ki ja rahi hai kyunkay un qawaneen se musalman hi nahi balkay dalit, qabail, ghareeb aur mehnat kash afraad buri terhan mutasir honge lehaza markazi hukoomat un qawaneen par amal karne se guraiz kere. khanwadah qasmi ki shakhsiyat sabiq muhtamim Darul uloom Deoband qaari MD tayyab qasmi ki poti aur molana salim qasmi ki chouthi sahib zadi maheman muqarrar Asma Ejaaz ne kaha ke hum log mulk ko bikne nahi denge markazi hukoomat ab rail, hawai jahaaz, bank laal qilah, university, school aur koyla khadnown ko bechnay ke baad ab LIC ko farokht par amaada hai is se pehlay ke koi BJP se is ki palisyon ke mutaliq sawal karta unhon ne barri chalaki se mulk ke logon ko CAA, NPR aur NRC mein uljha kar rakh diya hai.
Unhon ne kaha ke Hindustan mein ab tak jab bhi hukmran hue unhon ne Hindustan ke tamam bashindon ka poora poora khayaal kya. tamam mazahab ke log un ke daur hukoomat mein apne apne mazhab par azaadi ke sath amal karte rahay aur raj bhi hamara yeh mulk jamhoori nizaam wo aeen se chal raha hai lekin bad qismati hai ke mojooda hukmraanon ki taraf se CAA, NPR aur NRC jaisay mulk ko todnay walay qawaneen laaye ja rahay hain, jis ke nateeja mein logon ke sath na insafi aur firqa wariyat ho rahi hai. –YTN STAFF