Saturday, May 4, 2024
HomeOthersHealthDengue : wujuhaat, alamatein, ilaaj aur ehtiyaat

Dengue : wujuhaat, alamatein, ilaaj aur ehtiyaat

Hyderabad : Riyasat-e-Telangana ke alawa Hindustan bhar mein dengue ke mareezon ki tadaad mein roz baroz musalsal izafah hota ja raha hai jabkay is virus ki wajah se kayi afraad zindagi ki baazi haar gay hain.

Doctoron ki taraf se mukhtalif mawaqay par Hidayat millti rehti hain ke is marz se darein nahi balkay ahteyati tadabeer ikhtiyar karen lekin iske bawajood hazaron afraad is marz se pareshan hain. konsi cheeze ahteyati tadabeer ke liye zurori hain aur is marz ke phelnay ki wajohaat kiya hain yeh jaan kar is marz se mehfooz raha ja sakta hai.

Sab se pehlay to Dengue phelnay ki wajohaat ka ilm zurori hai taakay usay phelnay se roka jasakay. mahireen ke mutabiq dengue bukhaar bhooray rang ke dahari daar madah machar ke kaatnay se hota hai jisay dengue machar bhi kaha jata hai jiski tangen deegar macharoun se lambi hoti hain aur yeh saaf pani mein paeda hota hai. mahireen ke mutabiq dengue bukhaar madah macharoun ke kaatnay se hota hai.

Yeh machar subah tulu aftaab se lekar 8 baje tak aur shaam ghuroob aftaab ke waqt bahar nikaltay hain aur logon ko kaatetay hain. Amrici tehqiqaat ke mutabiq dengue bukhaar ka marz Amrici bandargaah par puranay bar-amad shuda taiyaron mein kharey pani ki wajah se phaela.

Dengue machar saaf pani khara honay se phailta hai. makaan ki chatoun par padi be-car ashya tootay hue gamlay, poudoun ki nurseries, pani ki motoroun se behnay wala pani, fridge ki tray, khuli jaghoun par padhe puranay tyre aur air collersdengue machar ke paeda honay ke liye behtareen aam jaga hain hain lehaza logon ko chahiye ke woh gharon ki chaton se be-car ashiya fouri tor par talaf kar den. Gamloun, fridge ki tray se pani nikaal den taakay madah machar andey nah day sakay.

Dengue bukhaar kiya hai is ka ilm bhi zurori hai. dengue koi naya marz nahi hai. yeh ek makhsoos qisam ke machar ke kaatnay se insani jism mein daakhil hota hai. iska ziyada tar shikaar asiayi mumalik ke bashinday hain. lekin ghabranay ki koi baat nahi, yeh mukammal tor par ek qabil-e-ilaaj marz hai.

Dengue bukhaar ki alamtoun se uski pehchan hojati hai. 1. is marz mein mareez ko tez bukhaar ke sath sath sir mein bohat sakht dard honay lagta hai. 2. Blood Pressure bohat kam hojata hai. jism achanak bohat thanda ho jata hai. 3. ghutnoun mein takleef aur jodoun mein bhi dard hona shuru hojata hai. 4. jism insani ki quwat mudafat taqreeban khatam ho jati hai. 5. surkh rang ke dhabbay poooray jism par zahir honay lagtay hain.

Dengue bukhaar ke 4 marahil hotay hain. ibtedayi do marahil mein ilaaj aasani se ho sakta hai. lekin aakhri dono marahil mein jaan bachana namumkin hojata hai. yeh 4 marahil yeh hain. 1 marhla. mareez ko shadeed bukhaar aur mazkoorah baala alamaat bhi zahir honay lagti hain. dosray marhalay mein pehlay marhalay ki alamaat ke sath sath badi aant, masoorho aur jild se khoon behnay lag jata hai. teesray marhalay mein nizaam-e-douran khoon bhi shadeed tor par mutasir hota hai. 4 marhalay mein mareez ke liye takleef na-qabil bardasht hojati hai aur quwat mudafat ke na-honay ki wajah se woh kayi bimarion ka shikaar ho jata hai.

Dengue bukhaar se bachoun  ke liye ahteyati tadabeer bohat aasan hain. aalmi idaara sahet ke mutabiq duniya bhar mein honay wali amwaat mein dengue bukhaar se honay wali amwaat ka tanasub 4 feesad hai. sirf ehtiyaat  se hi is marz se mukammal bachao mumkin hai.

Chunkay is marz ko phelanay walay machar saaf pani mein rehna pasand karte hain. is liye apne gharoun aur baghichon mein kahin par bhi saaf panay ko khadha mat honay den. Saaf panay ke tamam bartanoun  ko dhaamp kar aur water tank ko hamesha dhakkan laga kar rakhen.

Machar maarne walay spray ka baqaidagi se istemaal karen aur ghar ke har konay aur bistaroun aur sofa set waghera ke neechay spray laazmi kiya karen. dengue phelanay wala machar ziyada tar tulu aftaab aur ghuroob aftaab ke auqaat mein hamla aawar hota hai. is liye un auqaat mein khusoosi ehtiyaat  kiya karen. machar daani aur machar bhaganay walay lotions ka istemaal bhi ek achi ehtiyaat  hai.

Dengue bukhaar ka ilaaj. kamzor quwat mudafat ke haamil log, kam sahet mand afraad, zaeef log aur bachay is marz se ziyada mutasir hotay hain lekin jadeed tehqiqaat se saabit hota hai ke bukhaar itna khatarnaak nahi jitna isko samjha jata hai. zurori dekh bhaal aur baqaida ilaaj se sirf ek haftay se do haftay ke douran mukammal Shifa haasil ho jati hai.

Tibbi mahireen ki tahaqeeq ke mutabiq dengue bukhaar ke ilaaj ke liye Papeetay ke pattay aur shehad ka istemaal behtareen saabit hua hai. hamaray Pyare rasool ﷺ shehad ko pani mein hal kar ke peena pasand farmatay they. bilkul isi tarhan ek piyali may garam pani mein ek chamcha shehad mila kar din mein teen baar khanay se kuch der pehlay mareez ko pila diya karen.

Papeetay ke pattoun ka ras nikaal kar subah aur shaam pilana bhi dengue bukhaar ka Shafi ilaaj mana jaraha hai. bakri ka doodh bhi is marz mein nihayat mufeed saabit hosakta hai. mareez ko din mein baar baar bakri ka doodh pilate rehna chahiye. is ke alawa bukhaar ko aasan tasawwur nah karte hue dr se rujoo hona hi danishmandi hai. –YTN STAFF