Sunday, May 19, 2024
HomeSliderDengue se bachney ke liye Kejriwal ne shuru ki anokhi muhim

Dengue se bachney ke liye Kejriwal ne shuru ki anokhi muhim

New Delhi : Delhi ke wazeer-e-aala Arvind Kejriwal ne logoun se appeal ki hai ke woh apne 10 dostoun ko phone karen aur un se puchein ke unke ghar mein Dengue ke asraat mojood hain ya nahi. Kejriwal ne ”10 haftay, 10 bajey, 10 minute“ ke naam se ek muhim shuru ki hai is muhim ke tehat logon se yeh appeal ki hai. unhon ne tweet kiya keh 10 minute tak apne ghar ki jaanch karne ke baad, mein ne apne 10 dostoun ko phone kiya aur inhen unke gharoun ki jaanch padtal karne ke liye tehreek di. is baar hamein Dengue ko shikast dena hai.

Wazeer-e-aala Kejriwal ne logon se kaha hai ke woh Whatsapp par bhi yeh paegham ek dosray ko bhejen. isi douran Delhi ke wazeer Gopal Rai ne kaha ke wazeer-e-aala ne logon se appeal ki hai ke woh apne doston se makanaat ki jaanch padtaal karne ko kahein.

Unke saathi Rajendar pal Gautam ne bhi macharoun ki afzaish ke ilaaj ke tor par pani ke bartan ki safai karte hue un ki tasaveer ke sath tweet kiya. rawan saal 7 September tak Dengue ke 122 cases samne aaye hain. un mein se 30 rawan mah mein hue hain. August mein 52 case samnay aaye they. –YTN STAFF