Friday, May 17, 2024
HomeIndiaDelhi tashadud par hungami ijlaas, Aman bahaal karne sakht iqdamaat ka faisla

Delhi tashadud par hungami ijlaas, Aman bahaal karne sakht iqdamaat ka faisla

New Delhi: Delhi mein 2 din se jari tashadud ke waqeat ke pesh e nazar markazi hukoomat ne alla sathi hungami ijlaas talabb kiya aur halaat ka mukammal jaiza liya aur aman bahaal karne ke liye sakht iqdamaat karne ka faisla kiya.

Wazeer e dakhla Amit Shah ne aaj North Block mein hungami mulaqaat talabb ki jis mein Delhi ke Lieutenant Governor Anil Baijal aur Chief Minister Arvind Kejriwal shaamil huve. Is mein Delhi Assembly mein Opposition ke Leader Ramvir Singh Bidhuri, Shumal mashriqi Delhi se rukan Parliment Manoj Tiwari, Congress Leader Subhash Chopra, Delhi Police commissioner Amulya Kumar Patnaik aur deegar siyasi partiyoun ke Leader mojood thay.

Kejriwal ne ijlaas ke baad Media se baat cheet mein is ijlaas ko achchhaa qadam qarar dete huve kaha ke har koi chahta hai ke dar-ul-hukoomat mein tashadud ka khatama ho. Ijlaas mein ye faisla kiya gaya ke tamam siyasi jamaten Delhi mein aman o amaan bahaal karne mein taawun karen.

Wazeh rahay ke shumal mashriqi Delhi mein guzashta 2 din se jari tashadud mein Police Head Constable Ratan Lal sameit 9 afraad ke halaak honay ki khabar hai. Shahdara ke DCP Amit Sharma shadeed tour par zakhmi huve hain aur wo IP Extension waqay Makes Hospital mein ziralaj hain. un ki haalat behtar bataee jarahi hai. Tashadud mein badi tadaad mein loog zakhmi bhi huve hain aur amlaak ko bhi nuqsaan ponchaya gaya hai.

Fasadioun se nimatnay ke liye kya foj ko bulanay ki darkhwast ki gayi hai is sawal par Kejriwal ne kaha ke agar is ki zaroorat pade gi to is par zaroor ghor kiya jaye ga. Unhoun ne kaha ke filhaal Police karwai kar rahi hai. Shah ke sath mulaqaat mein ye yaqeen dehani ki gayi hai ke badi tadaad mein mutasirah ilaqoun mein Police Force tainaat ki jaye gi.

Is se pehlay Kejriwal ne shumal mashriqi Delhi aur deegar mutasirah ilaqoun ke arkaan Assembly ke sath ijlaas munaqqid kiya tha. Ijlaas ke baad unhoun ne Police Force munasib tadaad mein na honay aur tashadud phelanay ke liye sarhadi reyastoun se fasadioun ke anay ki baat kahi thi. –YTN STAFF