Friday, March 29, 2024
HomeExclusiveDelhi Police ehalkaron ke zariye jamia talba par jinsi zayad-ti

Delhi Police ehalkaron ke zariye jamia talba par jinsi zayad-ti

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi General-Secretary Mohammad Shafi ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein Delhi Police ne Jamia talba ke CAA mukhalif muzahireen par Delhi Police ki taraf se jinsi zayad-ti ki Fact Finding Report par sadme aur gham-o-ghusse ka izhaar karte hue is khofnaak hamlay ki shadeed muzammat ki hai. National Federation Of Indian Women ( NFIW ) ki taraf se guzashta dinon jari ki gayi Fact Finding Report mein is saal Feb ko Jamia Camps mein police muzalim aur zayad-ti ke intehai holnaak waqeat ka inkishaaf huwa hai. Report mein bataya gaya hai ke police ehalkaron ke zariye kam az kam 45 talba par jinsi zayad-ti ki gayi hai. Shehriat qanoon ke khilaaf pur aman muzahira karne walay muzahireen, Talba aur rahaishion par wehshiana hamla kiya gaya.

Taqreeban 15 khawateen aur 30 mardon ke posheeda aaza par hamla kiya gaya. Report mein kaha gaya hai ke khawateen ko mard police ehalkaron ney chaid chhad ki. Unhoun ney un ke kapday phadnay ki koshish ki. Seenon par mukkay maaray ya apne jooton se inhen kuchla, Yahan tak ke un ke posheeda aaza mein lathyon se hamla kiya gaya. Kam az kam 15 khawateen par un ki sharamgah mein hamla kiya gaya. Jis ke baais inhen androoni zakham aaye. 16 saal ki omar ki ladkiyon se leker 60 saal ki omar ki khawateen tak par jensi tashadud kiya gaya. Khofnaak zayad-ti ke nateejay mein mutasir afraad sadme, Dar daal, Peep aur khoon behnay ki wajah se kayi hafton bistar par they. Mardon bhi jinsi hamla bhi itna hi shadeed tha. Un ki kamar aur pusht par hamlay ke nateejay mein inhen shadeed chouten ayen.

Talba aur asatezaa ne pur aman muzahireen par chemiya yi gas ke istemaal aur police ke sath saada libaas mein malbous aur jaali wardion mein malbous hamla awaron ke barey mein bhi gawahi di hai. Jaissa ke JNU aur Jamia camps mein hue pichlle hamlon mein dekha gaya tha. Wahan par police ke ahelkaar ke uniform mein name plate aur badge nahi thay. Neez hamla awaron mein se kuch ne apne civilian kapdon par jeans, Ghair police helmet aur waistcoat pehan rakhay thay. NFIW ki sad ray Aruna Roy ka kehna hai ke hamla awaron ki adawat ka ehsaaseen ghair mamooli tha. Dar-ul-hukomat mein Delhi police ki ye ghanaoni harkat is se pehlay khabi nahi dekhi gayi thi aur ye ek mohazab samaaj aur mulk ki shabeeh par ek dagh hai.

SDPI qaumi General-Secretary Mohammad Shafi nay mazeed kaha hai ke jab se sanghi bar sar iqtidaar aaye hain, Tab se hi aqliton aur daliton ke khilaaf police ke mazalim mein izafah ho raha hai, Sath hi RSS ke gunde aqliton par mazalim dahare hain. Unhoun nay mutalba kiya ke Delhi Police ke is khofnaak jinsi istehsal ki ghair janeb daranah adalti tehqiqaat ka fori tor par hukum diya jaye aur mulzimaan ko katekhday mein khada kiya jaye.