New Delhi : Lok sabha ke 17th intikhabaat mein jahan congress jaisi jamaaton ko shikast ka saamna karna pada, wahein Aam Aadmi party ( AAP ) jaisi reyasti jamaten bhi tawaqqa se kam nishistain la payi hain. Aam Aadmi party is waqt wifaqi hukoomat ke zair-eintizam ilaqay aur dar-ul-hukoomat hind new Delhi mein hukoomat ke umoor anjaam dainay mein masroof hai lekin ab usay aindah baras honay walay assembly intikhabaat ki fikar satanay lagi hai jis ke liye is naye votoron ko lubhaney ki hikmat-e-amli ikhtiyar karli hai .
Haliya lok sabha intikhabaat mein apna vote bank kam honay par aam aadmi party ne voterz ki tavajja haasil karne ke liye abhi se hi schemes mutarif karwana shuru kardiya hai. nai Delhi ke chief minister Arvind Kejriwal ne Delhi mein khawateen ko muft train ki sahuliyaat faraham karne ka elaan kardiya. ab nai Delhi ki khawateen train aur hukoomat ke zair-e-intizam chalne wali buses mein muft safar kar sakengi. tafseelaat ke mutabiq Arvind Kejriwal ne elaan kiya ke aindah 2 taa 3 mah ke andar khawateen ke muft safar karne ka intezamat mukammal karliye jayenge. Delhi ke chief minister Kejriwal ne kaha hai ke unhon ne hukkaam ko khawateen ko buses aur train mein muft safar ki sahuliyaat faraham karne ke hawalay se mukammal mansoobah ek haftay mein paish karne ki hidaayat di hai .
Kejriwal ke mutabiq woh chahtay hain ke nai Delhi mein khawateen ko ziyada se ziyada raahat mukhtari miley, is liye inhen muft safar ki sahuliyaat faraham karne sameit inhen tahaffuz faraham karne ke hawalay se bhi kaam kiya ja raha hai. Kejriwal ne wazahat ki ke khawateen muft safar karne ya phir ticket khareed kar safar karne ke hawalay se khud mukhtar hongi, agar koi khatoon hukoomat par boojh nahi bana chahti to woh ticket khareed kar safar kar sakti hain. Ek andazay ke mutabiq nai Delhi mein rozanah 40 laakh afraad sarkari trains aur buses ke zariye safar karte hain aur un mein 33 feesad khawateen shaamil hain. agar Delhi hukoomat khawateen ko muft safar ki sahuliyaat faraham karegi to hukoomat par salana 1200 crore rupay ka izafi boojh pade ga aur agar mansoobah mutarif hua to Delhi hindustan ka pehla ilaqa hoga jo khawateen ko muft safar ki sahuliyaat faraham karega . –YTN STAFF