Friday, May 3, 2024
HomeHyderabadDelhi mein corona ke phailao ke khilaaf markazi hukoomat Mutaharik

Delhi mein corona ke phailao ke khilaaf markazi hukoomat Mutaharik

New Delhi : Hindustan ke dar-ul-hukoomat Delhi mein corona virus ke badhtay khatray ko khatam karne ke liye markazi hukoomat ne Dawakhanoun mein RT-PCR ki tadaad mein izafah kiya,aur markazi police force ke Dawakhanoun mein tainaat kiya.

Drs ki Delhi mein khidmaat jaisay mutadid iqdamaat kiye hain. markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ne itwaar ko Delhi mein corona infection ki khatarnaak soorat se nimatnay ke liye ek aala sathi ijlaas kiya tha.

Is ijlaas ke baad markaz aur delhi hukoomat ke zareya halaat se nimatnay ke liye mushtarqa iqdamaat ki baat kahi gayi thi. Wizarat-e-dakhla ke tarjuman ne kaha hai ke markazi hukoomat ne kayi qadam uthaye hain jinke tehat DRDO airport ke nazdeek chalaye jarahay covid  dawakhane mein 250 izafi ICU bed faraham kiye jayenge.

Markazi police force ke Dawakhanoun mein tainaat 45 Dr aur 145 name fouji daston ko Delhi airport ke nazdeek waqay dawakhane aur chitarpoor banaye gaye khusoosi covid dawakhana mein tainaat kiya gaya hai.

Mustaqbil mein mazeed kuch Dr aur tibbi ohdedaron ko bhi un Dawakhanoun mein tainaat kiya jayega. Wizarat-e-dakhla ne mukhtalif agencio ke ohdedaron ki 10 teamen tashkeel di hain jo 100 se bhi ziyada khangi Dawakhanoun mein dora karte hue wahan bistaron ke halaat aur jaanch ki salahiyat aur ICU bed ki soorat e haal ka jaiza lengi.

Railway mehakma bhi bastii mein train ke dabon mein 800 bed tayar kar raha hai. markazi police force ke Dr aur tibbi ohdedaron ki yahan khidmaat haasil ki jarahi hain. Bharat electronics limited ne banglore se Delhi ke Dawakhanoun ke liye 250 ventilators haasil kiye gaye hain. Iske alawa BIP app mashinen bhi haasil ki jarahi hain. ghar ghar jaakar muaina surway ka mansoobah bhi taizi se shuru kiya ja raha hai. is Mansoobe par is haftay ke aakhir tak amal honay ka imkaan hai. yeh surway 25 November tak mukammal karliya jayega. Indian medical science tehqeeqi council aur Delhi hukoomat mushtarqa tour par RT-PCR test ki salahiyat 60,000 tak karne ki simt mein bhi kaam kar rahi hain.