Monday, May 6, 2024
HomeIndiaDelhi mein Congress aur AAP ka ittehaad mumkin

Delhi mein Congress aur AAP ka ittehaad mumkin

New Delhi. Congress ki janib se Dehli mein tanha intekhabaat ladney ka faisla karne ke kayi din baad bhi yeh imkanaat hanoz mojood hain ke woh yahan Aam Aadmi Party ke sath ittehaad kere gi, taakay aindah Lok Sabha intekhabaat main BJP ko shikast di jasakay. Congress ki qayadat Aam Aadmi Party ke qaideen se tabadlah khayaal kar rahi hai aur Arvind Kejriwal ki qayadat mein mojood AAP ke sath Dehli Congress ke qaideen ki mafahmat ki koshish ki jarahi hai. All India Congress Committee ke General Secretary Incharge Delhi Congress PC Chacko ney kaha ke mein Dehli mein Congress ke qaideen ke sath rabita mein hon taakay AAP ke sath ittehaad ki raah hamwar hosakay.

Congress Working Committee ney faisla kiya hai ke aindah Lok Sabha intekhabaat mein BJP ko shikast dainay ke liye humkhayal jamaaton se ittehaad kiya jaye aur mujhe umeed hai ke Dehli Congress ke qaideen bhi is hikmat e amli ke tehat aap ke sath ittehaad karen ge lekin qataee faisla anqareeb Congress ke Sadar ki janib se hoga. Dehli Congress ki Sadar Sheila Dixit jinhon ney sabiq mein yeh ishara diya tha ke congress ka AAP ke sath koi ittehaad nahi lekin Chaaku ney kaha hai ke Dehli mein chand Senior Leaders yeh samajte hain ke Congress ka phela maqsad BJP ko shikast dena hai lekin is ke liye AAP ke sath ittehaad ko bhi nazar andaz nahi kiya ja sakta. AAP ke sath Dehli mein Congress ke ittehaad ka faisla Rahul Gandhi anqareeb karen ge jis ke liye woh Congress qaideen ke sath tabadlah khayaal karen ge.