New Delhi: Aendhen ki qeematon mein musalsil izafa jaari hai aur hukoomat awaam ki pursan e haal nahi hain jaisa ke opic ki jaanib se maang ke mutabiq tail ki paidawar mein izafa na hone ki wajeh se bainul aqwaami market mein qaam tail ki qeematon mein uchal jaari rehne ki wajeh se Wednesday ko musalsil dusre din Hindustan mein petrol 30 paise fee litre aur diesel 35 paise litre mehanga ho gaya.
Musalsil 4 dino ki tezi ke baad Monday ko in dono aendheno ki qeematon mein koe tabdeeli nahi aayi lekin Tuesday ko is mein izafa kiya gaya. Wednesday ko is mein ek martaba phir izafa huwa jis ki wajeh se Hindustan ke darul hukoomat delhi mein unki qeematein record sateh par pohunch gaye. Is izafe ke baad darul hukoomat delhi mein petrol 102.94 rupiye fee litre aur diesel 91.42 rupiye fee litre ki tareeqi buland tareen sateh par pohunch gaya. Gujishta ek hafte mein petrol 1.75 jabke diesel 10 dino mein 2.80 rupiye fee litre mehanga hogaya.
Opic mumalik ke ijlas mein tail ki paidawar mein 4 lacks barel youmiya izafa ka faisla kiya gaya jabke corona ke baad aalami sateh par iski maang mein zabardast izafa ho raha hain…is faisle ke baad bainul aqwaami market mein qaam tail mein zabardast izafa huwa hai… gujishta roz Americi market mein karobar ke iqtetaam par braint crode 1.30 dollars fee barel izafe ke saath 82.56 dollar fee barel aur Americi qaam tail 1.11 dollar izafe ke saath 78.73 dollar fee barel raha hai.
Mulk ki tail company indian oil corporation ke mutabiq delhi mein petrol 102.94 rupiye fee litre aur diesel 91.42 rupiye fee litre tak pohunch gaya..is izafe ke baad delhi NCR ke nuweda mein petrol 100.24 rupiye fee litre aur diesel 92.04 rupiye fee litre faroqt ho raha hai…is waqt Bhopal mein petrol 111.45 rupiye fee litre aur diesel 100.42 rupiye fee litre tak pohunch gaye hain jabke Hyderabad mein petrol pehle hi 105 ka hindsa uboor kar chuka hain…yaad rahe ke petrol aur diesel ki qeematon ka rozana jayeza liya jaata hain aur isi buniyad par har roz subha 6 baje se nayi qeematon ka itlaaq hota hai.