Friday, May 17, 2024
HomeIndiaDelhi mein 29 october se khawateen ke liye Bus ka safar hoga...

Delhi mein 29 october se khawateen ke liye Bus ka safar hoga muft

New Delhi : Delhi ke wazeer-e-aala Arvind Kejriwal ne elaan kiya ke Delhi 29 october se  baroze mangal se poori duniya mein aisa pehla shehar ban’nay jaraha hai, jahan buses mein khawateen ke liye safar mukammal tor par muft hoga. sath hi qaumi dar-ul-hukoomat Delhi ki DTC aur cluster buses mein 13000 marshal tainaat kiye jayenge. Delhi ke wazeer-e-aala arvind kejriwal ne peer ko 6000 Bus marshal taqarruri karne ke pragram ke douran ye baat kahi. Kejriwal ne kaha ke ab tak Delhi buses mein 3400 marshal tainaat they, lekin ab unki tadaad barah-e-raast 13000 hojayegi.

Kejriwal ne kaha ke shaam ke waqt khawateen ki hifazat ke liye Delhi ke DTC aur cluster buses mein marshalls ko tainaat kiya gaya tha, lekin aam logon aur media ne mutalba kiya ke, shaam ke waqt hi kyun, khawateen ke tahaffuz ke liye bhi marshal ko din ke waqt mein bhi tainaat kiya jaye, lehaza ab hum ne marshal ki tadaad ko badha kar 13000 karne ka faislah kiya hai.

Is douran kejriwal ne muqarrar kardah marshal se kaha ”agar koi shakhs Bus mein mojood kisi aurat ke sath koi ghalat kaam karta hai to, usay roknay ke liye aap jo kar sakte hain woh karen. Bus ke andar baithi aurat ko yeh ehsas hona chahiye ke woh Bus mein mukammal tor par mehfooz hai aur is ka bhai ya behan iski hifazat ke liye Bus mein moujood hai. –YTN STAFF