Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaDelhi mein 15 Oct se Theaters ki dobarah kushadgi ka elaan

Delhi mein 15 Oct se Theaters ki dobarah kushadgi ka elaan

New Delhi: Coronavirus ki wajah se jahan Hindustan bhar mein lockdown nafiz kardiya gaya tha un pabandion ko marhala waar Unlock ke zareya khatam kiya ja raha hai jis mein ab taleemi idaray aur Theaters par sab ki nazrain markooz hain, Neez Hindustan ke dar-ul-hukoomat Delhi hukoomat ne Theaters ki kushadgi ka faisla kiya hai taham Theaters mein 50% nashishton ke sath tafrehi masrofiyat ki ijazat hogi.

Delhi hukoomat ne elaan kiya hai ke 15 October se Cinema gharon, Theaters aur Multiplex ko dobarah kushadgi ki ijazat di jarahi hai. Delhi Disaster Management Authority ( DDMA ) se jari kardah hukum ke mutabiq, Shehar mein Corona Containment Zone mein is terhan ke idaray band rahen ge. DDMA ne tamam hafta waar marketon ko bhi fori tor par kashadgi ki ijazat di.

Ab tak har Municipal Zone mein rozana sirf 2 marketon ki ijazat thi. Twitter par Chief Minister Arvind Kejriwal ne kaha ke 15 October se Cinema halon ko dobarah kholnay ki ijazat hogi aur inhen markazi hukoomat ke jari kardah tamam rehnuma khutoot par amal karna hoga.

Coronavirus se munsalik mulk geer lockdown ka elaan sab se pehlay 25 March se kiya gaya tha aur usay 31 May tak marahil mein badhaya gaya tha. Mulk mein Unlock amal yakam June ko tijarti, Masharti, Mazhabi aur deegar sar garmion ke darja bandi ke sath dobarah shuru hua tha. Alawa azeen ab Hindustan bhar mein zindagi mamool ki simt gamzan hai lekin is ka hargiz yeh matlab nahi hai ke Coronavirus khatam hochuka hai. Coronavirus ke is bohrani soorat-e-haal mein ahteyati tadabeer ke sath zindagi ko agay badhaya ja raha hai.