Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaDelhi ki aloodgi par javadekar aur Kejriwal ki siyasat

Delhi ki aloodgi par javadekar aur Kejriwal ki siyasat

New Delhi : Janglaat wo maholiyaat, mosmyati tabdeeli aur it-tila-aat wo nashriyat ke wazeer Prakash Javadekar ne qaumi dar-ul-hakoomat Delhi ke ilaqon mein aloodgi ke bad-tar halaat par tashweesh ka izhaar karte Delhi ke chief minister Arvind kejriwal par aloodgi par siyasat karne ka ilzaam lagaya hai.

Javadekar ne ek programme mein sahafion ke sawal ka jawab dete hue kaha ke yeh bohat hi ghalat baat hai ke ek aaeni ohda par Faiz shakhs is tarhan i siyasat kar rahay hain. unhon ne kaha ke markaz ki modi hukoomat ne guzishta 5 barson mein aloodgi se nipatnay ke liye mutadid iqdamaat kiye hain aur 17 hazaar crore rupay ki laagat se easter perifal express way banaya hai jahan se yomiya 60 hazar truck guzarte hain aur un truckon ke Delhi na anay se bhi aloodgi mein numaya kami aayi hai.

Iske alawa dar-ul-hukoomat mein badarpur plant ko band karwaya gaya hai aur teen hazaar san-aton ko PNG system par laya gaya hai. dar-ul-hakoomat se mut-tasil ilaqon mein 3 hazaar eent bhatteoon ko zig zag technology se chalaya gaya hai. markazi hukoomat ne Punjab aur Haryana hukoomat ko 1100 crore rupay dyie hain aur yeh raqam kisanon ko taqseem ki gayi hai taakay woh mashinen khareed len aur pur aal ko khatam karne ka kaam isse karen.

Javadekar ne kaha ke Delhi ke chief minister aloodgi par siyasat kar rahay hain aur ilzaam tarashiyon ke khel par utar aaye hain. Guzishta 15 barson mein dar-ul-hakoomat ki hawa kaafi bigad gayi hai aur is maslay par sab ko mil kar kaam karne ki zaroorat hai lekin Delhi hukoomat aloodgi ko kam karne ka sehra khud hi lerahi hai aur is baat ki tashheer karne ke liye isne 1500 crore rupay sirf ishtiharaat par kharch kiye hain. iske bajaye agar Delhi hukoomat ye raqam Punjab aur Haryana ke kisanoun ko dedeti to woh mashinen khareed sakte they.

Unhon ne ye bhi kaha ke Delhi hukoomat ne metro ke ek marhala ke apne hissa ki raqam bhi nahi di thi aur is maamla mein adalat ko mudakhlat karna pada tha. iske alawa easter peeri fal express way ke liye jo 3500 crore rupay denay they woh nahi dyie, agar hum ek dosray par isi tarhan ilzaam lagatay rahay to bohat se masla uth khadey honge.

Unhon ne kaha ke logon ko aloodgi se raahat dilanay ke liye tamam fareeqon ki zimmedaari hai aur kejriwal Haryana aur Punjab hukoomat par ilzaam laganay ki bajaye Punjab, Haryana , Rajasthan aur Delhi ko ek sath mil kar aloodgi se nijaat haasil karne ka tareeqa talaash karna hoga. kejriwal is ladai mein bachon ko shaamil kar rahay hain aur Haryana aur Punjab ke chief minister ko woh bachon ke samnay ek khalnayak ki tarhan pesh kar rahay hain. –YTN STAFF