Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaDelhi ke Seelampur aur Jafrabad mein, CAA ke khilaaf taaza ehtijaj

Delhi ke Seelampur aur Jafrabad mein, CAA ke khilaaf taaza ehtijaj

New Delhi: Shehriat tarmeemi act ke khilaaf Jamia Millia ke baad, Mangal ki sah pehar shumal mashriqi Delhi ke Selampur aur Jafrabad  ilaqay mein taaza muzahiray shuru hogaye. Kaafi hungama barpaa huva. it-tila-aat ke mutabiq muzahireen ki janib se Seelampur T point se Jafrabad  T point ke darmyan hajhoom ki janib se pathrao kiya gaya aur DTC ke mutadid Buses ko nuqsaan pouncha. Aur is mein mutadid police ahelkaar zakhmi hue. Poooray ilaqay mein police force ko tainaat kar diya gaya hai.

Muqami logoun ka kehna hai ke police ne muzahireen par lathi charge kiya aur ansoo gas ke golay istemaal kiye. Hangama ke baad welcome, Jafrabad , Maujpur, Babarpur Metro Station ke dakhli wakharji rastay band kar diye gaye hain.

Jamia Millia ke talba se izhaar yakjahti ke liye aur CAA ke khilaaf muzahiray kiye gaye. Police hakkaam ne bataya ke ilaqay mein sorat-e-haal qaboo mein hai, Taham wazeh nahi hai ke ehtijaj ke peechay ko nasee tanzeem ka haath hai. it-tila-aat ke mutabiq police aur muzahireen ke mabain jhadpoun mein kuch afraad zakhmi hue hain.

Wazeh hoke, Mangal ko shumal mashriqi Delhi ke ilaqay Seelampur mein shehriat tarmeemi act ke khilaaf ek Rally nikaali gayi thi, Is douran muqami logoun ne police par pathrao kiya. Police ne hajhoom ko muntashir karne ke liye ansoo gas ke shall dale.

Is ke ilawa CAA ke khilaaf par tashadud ehtijaj Jafrabad  mein 2 bajey shuru huva, welcome ke ilawa Shastri park ke ilaaqoun mein bhi phail gaya. Delhi police ke mutabiq, Ye tashadud is waqt shuru huva jab kuch shar pasandoun ne school bas par hamla kiya. Unhoun ne bas par pathrao kiya aur phir rahgiroun ko nishana banaya.

Pur-tashaddud hajhoom ne shumal mashriqi Delhi ke DCP office par pathrao kiya aur Jafrabad  thaanay ki parking mein gadiyoun ko nazar aatish kar diya. Is douran police ehalkaroun sameit mutadid afraad zakhmi hue. Police zakhmioun ko ilaaj ke liye nahi leja saki, Kyunkay hamla aawar police aur rahgiroun ko nishana bana rahay they. Sorat-e-haal ko qaboo mein karne ke liye police ko lathi charge karna pada, Lekin hajhoom ne force par pathrao karna shuru kar diya. it-tila-aat ke mutabiq, Delhi police ne asal sorat-e-haal jan-nay ke liye drone ka istemaal kiya. –YTN STAFF