Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaDelhi Jis Ney Jeeti Hindustan Isi Ka Hua

Delhi Jis Ney Jeeti Hindustan Isi Ka Hua

New Delhi : Hindustani siyasat mein ek muhawara mashoor hai ke jis nay Delhi jeeti Hindustan usi ka hoga kyun kay guzashta chand dahun se dekhnay mein aaya hai ke jis jamaat nay Delhi mein kamyabi haasil ki markaz mein bhi woh Iqtidaar par qaabiz hui hai lehaza is martaba bhi Delhi mein kamyabi to Hindustan ka Iqtidaar par sab ki tavajja markooz hai. Delhi mein waisay to lok sabha ki sirf saat nishistein hain lekin guzashta 22 barson ke douran hue 5 aam intikhabaat ke adaad wo shumaar par nazar daali jaye to pata chalta hai ke jis nay Delhi ki un parlimani nishistoun par fatah haasil ki, isi ki markaz mein hukoomat bani .

Waisay bhi aisi aam soch hai ke Delhi ki saton lok sabha nishistoun par haar jeet mulk ke mood ka bhi ishara day jata hai. is martaba BJP  jahan 2014 ke intikhabaat mein saton nishistoun par haasil hui kamyabi ko aik martaba phir dobarah haasil karne mein lagi hui hai to wahein congress 2009 ka badla lainay ke liye koi kasar nahi chodh rahi. Aam Aadmi Party ( AAP) jis nay Delhi assembly ke intikhabaat mein 70 mein se 67 nishistoun par apni kamyabi ki mohar lagai thi aur tamam siyasi panditoun ke paish qiyasiyoun ko mukammal tor par ghalat saabit kardiya tha, woh bhi poooray dam khham ke sath taal thok rahi hai dekhna yeh hai ke seh rukhi muqablay mein Delhi ki saat parlimani nishistoun par oont kis karvat baithta hai .

Delhi ki saat lok sabha nishistoun ki tareekh ko dekha jaye to 1998 se aisa ittafaq hua   hai ke jis nay un nishistoun ko apne naam kiya hai isi nay markaz mein Iqtidaar ka maza chakkha. saal 1998 ke aam intikhabaat mein BJP  nay Delhi ki saat nishistoun mein se 6 par fatah haasil ki. is waqt qarol baagh nishist mehfooz zamray mein hua   karti thi aur is per congress ki mera kumar kamyaab hui theen. saal 1998 mein Atal Bihari Vajpayee ki qiyadat mein markaz mein qaumi jamhoori ittehaad ( NDA ) ki hukoomat qaim hui. kayi partiyon ke taawun se banay NDA ittehaad ki hukoomat ziyada din nahi chal payi aur sirf 13 mah ke andar is hukoomat ka zawaal ho gaya. iske baad 1999 mein dobarah aam intikhabaat hue. un intikhabaat mein BJP  ki jholi mein Delhi ki saton nishistein ayen aur is ke baad ek martaba vajpayee ki qayadat mein markaz mein ittehaad wali hukoomat banai aur is nay apni meyaad mukammal ki .

Saal 2004 mein Delhi mein nishistoun ke hisaab se 1998 ki tareekh ko dohraya kya gaya lekin is martaba BJP  ki jagah congress nay saat mein se 6 nishistein jiiten jabkay BJP  sirf junoobi Delhi ki nishist hi haasil kar payi. intikhabaat mein BJP  ke vijay kumar malhotra nay congress KRK anand ko shikast di. congress ke Dr manmohan singh ki qayadat mein markaz mein mutahidda taraqqi pasand ittehaad ( UPA ) hukoomat bani .

15th lok sabha ke liye parlimani nishistoun ki had bandi ke baad 2009 ke aam intikhabaat mein congress nay Delhi ki tamam saton nishistoun par fatah payi aur dr singh ek martaba phir mulk ke Wazeer-e-Azam banay .

16th  lok sabha mein nazarah bilkul alag tha. congress Delhi ki ek bhi nishist nahi bacha payi aur markaz mein bhi usay Iqtidaar se haath dhona pada. BJP  nay Narendra Modi ki qayadat mein 16th  lok sabha intikhab lada aur markaz mein hukoomat banai. 30 saal ke baad yeh pehla mauqa tha jab markaz mein pehli martaba kisi party nay aksariyat ke adaad wo aadad wo shumar par kiya tha. intikhabaat NDA  ittehaad ke tehat lada gaya tha. Modi nay markaz mein BJP qayadat wali makhloot hukoomat ki qayadat ki .

17th lok sabha ke liye saat marahil mein raye dahi hona hai. paanch marahil ki raye dahi ho chuki hai aur chhatay marhalay ki raye dahi ke douran 12 May ko Delhi ki tamam saton nishistoun par vote daaley jayenge. BJP, congress aur AAP tenu hi apni kamyabi ke liye poooray dam khham ke sath maidan mein hain. daykhna yeh hai ke kya guzashta 22 saal ki tareekh phir dohrayi jayegi ke jo party Delhi mein kamyabi haasil karti hai wohi markaz mein hukoomat banayegi ye yeh record toot jayega. –YTN STAFF