Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaDelhi intikhabaat ka elaan, 8 feb ko raye dahi aur 11 feb...

Delhi intikhabaat ka elaan, 8 feb ko raye dahi aur 11 feb ko nataij

New Delhi: Intikhabi commission ne Delhi Assembly intikhab ki tareekh ka elaan kar diya hai. Chief Election commissioner Sunil Arora ne press conference ke douran wazeh kiya ke 8 feb ko Delhi mein Assembly intikhab ek hi marhala mein ekhtataam pazeer hoga aur votes ki ginti 11 feb ko hogi. Darin asna hi Chief Election commissioner ne fori asar se Delhi mein intikhabi zabita e ikhlaq nafiz karne ka bhi elaan kar diya hai.

Press conference ke douran Sunil Arora ne kaha ke intikhab se mutaliq aalamia 14 January ko jari hojaye ga jab ke 21 January umeedwaroun ke zareya namzadgi ka parcha daakhil karne ki aakhri tareekh hogi. Is ke ilawa Scrutiny ke liye 23 January ki tareekh muqarrar ki gayi hai aur phir umeedwaroun ke zareya namzadgi wapas lainay ki tareekh 24 January hai.

Qabil zikar hai ke Delhi ki mojooda Assembly ki muddat 22 feb 2020 ko khatam ho rahi hai. Tarikhoun ka elaan karte hue intikhabi commission ne board imthehaan ko bhi zehan mein rakha hai. Commission ke mutabiq voting ke liye schooloun ka istemaal kiya jata hai is liye 15 feb se shuru honay walay board imtehanaat se pehlay hi Assembly intikhab ke liye voting ka amal poora kar liya jayega.

Chief election commissioner Sunil Arora ne kaha ke Delhi mein is martaba 2689 voting maqamat honge jin par 13750 Voting marakaz qaim kiye jayenge. Har Assembly halqa mein ek model Voting markaz hoga. Guzashta Assembly intikhab mein Voting maqamat ki tadaad 2530 thi jab ke Lok Sabha election mein ye tadaad 2700 thi.

Wazeh rahay ke guzashta saal hue Lok Sabha intikhab mein Delhi ke tamam 7 Lok Sabha Nasheshtoun par BJP ne qabza kiya. Intikhabi commission ne Delhi mein votoroun ki nai fehrist bhi jari ki hai. Is fehrist mein jin logoun ka naam nahi hoga unhein vote karne ka haq nahi diya jayega. Lok Sabha intikhab ke waqt intikhabi commission ke zareya jari ki gayi fehrist mein Delhi mein 1 crore 43 lakh 16 hazaar 453 Voters they. Un mein 79.73 lakh mard jab ke 65.73 lakh khatoon Voters they. Is ke ilawa trans gender votoroun ki tadaad taqreeban 700 thi. Is martaba taqreeban 2.5 lakh naye voters is fehrist mein shaamil hue hain. Is terhan se Delhi mein votoroun ki tadaad 14692136 hogayi hai. Un mein 80.55 lakh mard jab ke 66. 35 lakh khatoon Voters hain.

Guzashta Assembly intikhab mein Delhi ki 70 Assembly sitoun mein se 67 par qabza kar ke Aam Aadmi party ne mukammal aksariyat ke sath tareekhi kamyabi haasil ki thi. Baqi ki 3 sitin BJP ke hissay mein gayi then. Nai Delhi intikhabi halqa se BJP umeed waar kiran bidi ko shikast day kar Arvind Kejriwal ne yahan fatah ka parcham lahraya tha. –YTN STAFF