Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaDelhi fatah karne ke baad ab AAP ki tawajah Punjab par markooz

Delhi fatah karne ke baad ab AAP ki tawajah Punjab par markooz

New Delhi: Delhi Assembly intikhab mein 62 nashistoun par kamyabi haasil karne ke baad Aam Aadmi Party ( AAP ) mein ek nai taazgee aur ek naya josh dekhnay ko mil raha hai. Delhi mein kamyabi ka parcham lehraane ke baad ab party Punjab fatah karne ka iradah rakhti hai. Darasal Delhi mein mili kamyabi ne Delhi ke sath sath Punjab ke AAP karkunaan mein bhi nai tawanai aur hoslah peda kar diya hai. Amritsar mein AAP ke ek karkun ne wazeh lafzoun mein keh diya ke Delhi to jeet gaye, Ab Punjab bhi hum jeet lenge.

Intikhabaat mein kamyabi ke baad jab Delhi mein AAP karkunaan jashnn mana rahay they, To Punjab mein bhi methayyan takseem ho rahi then. Ek AAP leader ne is mauqa par daawa kiya ke party ab Punjab ke aindah Assembly intikhab mein fatah darj keregi. Punjab ke Senior AAP leader aur Sunam se rukan Assembly Aman Arora ne media ke samnay yahan tak keh diya ke Delhi ne wazeh kar diya hai ke kaam karne wali party ko hi vote miley ga. Ye pegham 2022 mein honay walay Punjab Election ke liye bhi hai.

 Delhi Assembly intikhab ke haasil nataij ko Aman Arora ne Punjab ke liye bhi intehai misbet aur khush aaind batatay huve kaha ke Punjab mein hamari bohat badi mojoodgi hai aur ye hamaray liye mufeed hai. Delhi ki raftaar Punjab mein barqarar rahay gi. AAP leaderan 2022 Assembly intikhabaat ke liye ye bhi umeeden lagaye baithy hain ke Amarinder Singh ki qayadat wali congress hukoomat ke khilaaf hukoomat mukhalif lehar kaam kere gi aur is ka faida AAP ko miley ga.

Wazeh rahay ke AAP ne 2014 Lok Sabha intikhab mein Punjab mein 4 nashishtoun par qabza kar ke sabhi ko heran kar diya tha. Party ne 2017 Punjab Assembly intikhab mein doosri sab se badi party honay ka sehra haasil kiya tha. 23 feesad votoun ke sath 20 Assembly nashistain jeetnay ke baad AAP riyasat mein ahem oppostion party ban gayi thi. Halaank saal 2019 mein AAP ne sirf ek Lok Sabha nashist par qabza kiya lekin Delhi Assembly intikhab 2020 mein zabardast karkardagi pesh karne ke baad AAP Punjab mein bhi apni karkardagi behtareen karne ke tain pur-umeed hai. –YTN STAFF