Sunday, May 12, 2024
HomeExclusiveDelhi fasadaat mein police bhi Musalmanoon ko nishana bananay waloun mein shaamil:...

Delhi fasadaat mein police bhi Musalmanoon ko nishana bananay waloun mein shaamil: Report

New Delhi: Aqliati haqooq commission ney kaha hai ke dar-ul-hukoomat nai Delhi mein rawan baras ke awail mein mutanazia shehriat qanoon ( CAA ) ke khilaaf honay walay ehtijaj ke douran Musalmanoon ke qatal o ghaarat aur amlaak ko nuqsaan pohanchanay mein qanoon ke hamion ke sath police bhi shaamil rahi. Khabar Agency writers ke mutabiq Delhi ke aqliati commission ( DMC ) ney open report jari ki hai, Jis mein Musalmanoon ke khilaaf honay walay munazzam mazalim ko bayan kiya gaya hai.

DMC ne kaha ke rawan baras Feb mein mutanazia shehriat qanoon ke khilaaf Hindostan bhar mein honay walay ehtijaj ke mauqa par shumal mashriqi Delhi mein fasadaat ke douran Musalmanoon ke ghar, Dukanain aur gadiyoun ko nishana banaya gaya. Report mein kaha gaya hai ke 11 Masajid, 5 Madaris, Musalmanoon ki 1 dargaah aur qabrustan par hamla kiya gaya aur inhen nuqsaan pohanchaya gaya. Fasadaat ke douran honay walay mazalim ke hawalay se report mein bataya gaya ke bazahir ehtijaj ko khatam karne ke liye intizamia aur police ki madad se CAA ke haami muzahireen ne baday pemanay par kasheedgi phelayi.

Commission ne kaha ke police ne Musalmanoon par kasheedgi ka ilzaam lagaya halaank wo khud is ka bad tareen shikaar hue they. Khayaal rahay ke Delhi fasadaat mein kam az kam 53 afraad ko qatal kiya gaya tha jin mein se aksariyat Musalmanoon ki thi jabkay 200 se zayed afraad zakhmi hogaye they. Mutanazia qanoon ke khilaaf Musalmanoon ne shadeed ehtijaj kiya tha aur un ka moaqqaf tha ke Musalmanoon ko un ki ilaqoun se be dakhal karne ki ye sochye samjhi saazish hai. Delhi police ke tarjuman Anil Mittal ne report mustard karte hue is ko janabdaar qarar diya aur kaha ke police ne shafaaf kirdaar ada kiya tha. 

Unhoun ne kaha ke hum ne 752 First Information Report ( FIR ) darj kee, 200 se zayed afraad ko charge sheet kiya gaya, Fasadaat se mutaliq 1400 se zayed afraad ko hirasat mein liya gaya. Police tarjuman ne kaha ke hum ne 3 khusoosi tafteeshi teams banai theen aur ab bhi shikayaat wusool karne ke liye tayyar baithy hain. Report mein hukmaran jamaat Bhartia Janata Party ( BJP ) ke mutadid senior rehnumao ko bhi moorad ilzaam thehraya gaya hai.

Delhi Assembly ke BJP ke sabiq rukan Kapil Mishra ke hawalay se kaha gaya hai ke unhoun ne 23 Feb ke waqeat mein jalti par tail ka kaam kiya lekin BJP ke tarjuman ne kaha hai ke is terhan ke ilzamaat ki koi bunyaad nahi hai. BJP ke tarjuman Harish khurana ne kaha ke Delhi police ne adalat mein keh diya hai ke Kapil Mishra ka koi kirdaar samnay nahi aaya to phir DMC kis bunyaad par ye keh rahi hai. Aqliati commission ne kaha ke gawah kehte hain ke police fasadaat mein mudakhlat karne mein nakaam rahi aur is hawalay bohat haqayiq jama kiye gaye.

DMC ki report mein bataya gaya hai ke commission ko reports mili hain ke tashadud ke waqt hamla awaroun ke samnay police ghair fa-aal hojati thi ya talabb karne ke bawajood jaye wuqoo par nahi pahunchti thi. Yaad rahay ke Hindostan mein mutanazia shehriat qanoon ke khilaaf decemeber 2019 se muzahirey kiye ja rahay thay taham Americi sadar Donald Trump ke pehlay dora hind ke douran 24 feb ko dar-ul-hukoomat nai Delhi mein achanak ye muzahirey mazhabi fasadaat ki shakal ikhtiyar kar gaye thay.

Mazhabi fasadaat is waqt shuru hue jab hazaroun afraad ne nai Delhi mein mutanazia shehriat qanoon ke khilaaf muzahira kiya jahan un par achanak intahaa pasand aur sharpasand afraad ne hamla kardiya jis ki wajah se muzahirey mazhabi fasadaat mein tabdeel hogaye. Un fasadaat ke douran kam az kam 53 afraad halaak aur 400 se zayed zakhmi ho ye they jabkay Delhi mein Musalmanoon ki abadi ko badi tadaad ko nishana banaya gaya tha. Supreme Court ne mutanazia shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf darkhwast ki samaat ke douran police ki karkardagi par sawal uthatay hue kaha tha ke agar police apna farz ada karti to mushtael afraad bach nahi satke they.