Wednesday, May 14, 2025
HomeIndiaDelhi fasadaat ki daastaan, Alfaaz mein bayan hona mushkil

Delhi fasadaat ki daastaan, Alfaaz mein bayan hona mushkil

New Delhi: Ye ek mansoobah band fasaad tha jis mein sharpasand anasir ko is baat ki khuli chhuut mili huvi thi ke wo jis terhan chahiye tabahi philayin chunancha is ka faida athakar unhoun ne Delhi ke shumal mashriqi ilaaqoun mein zabardast tabahi machai, 3 din tak qatal ow gharat giri lout maar aur aatish zani ka mazmoum silsila jari raha aur qanoon nafiz karne walay idaray sotay rahay, Jani nuqsaan ki ginti to ki ja sakti hai lekin jo maali nuqsanaat huve hain is ka andaza bhi nahi lagaya ja sakta hai jo kuch hamari aankhoun ne dekha wo bohat rooh farsaa aur afsoosnaak hai aur usay lafzoun mein bayan nahi kiya ja sakta. Ye alfaaz Jamiat Ulama Hind ke sadar Maulana Syed Arshad Madani ne Delhi ke fasaad mutasirah ilaaqoun ke doray ke baad rad-e-amal ke tor par kahe.

Maulana Madani ne mutasirah ilaaqoun ka dora hi nahi kiya balkay kisi mazhabi imtiaz ke baghair mutasireen se mulaqaat ki un ki rudaad suni inhen dilaasa diya aur har terhan ki madad ka yaqeen dilaya, Wazeh rahay ke Jamiat Ulama Hind ka ek numainda wafad Maulana Madani ki hidayat par pichlle 23 dinoun se fasaad mutasirah ilaaqoun ka dora karkay mutasireen ko har terhan ki madad pohanchanay ka kaam kar raha hai aur fasaad ke douran huve maali nuqsanaat ka survey bhi kar raha hai taakay is ki bunyaad par maqdoor bhar mutasireen ki maali madad ki jasakay, Ahem baat ye hai ke fasaad ke douran jalaaye gaye makanaat ki taamer aur murammat ka beda bhi ab Jamiat Ulama Hind ne uthaliya hai taakay jis qadar jald mumkin ho inhen dobarah rehne ke layeq bana diya jaye, Apne doray ke douran Maulana Madani ne Khazoori Khas mein makanaat ki taamer o muramat ke kaam ka bazabta tour par aaghaz apni dua se kiya is mauqa par mutasireen ki ek badi tadaad mojood thi jin se Maulana Madani ne fardan fardan mulakaatein kee aur inhen delasa diya.

Baad azan hazreen se khitaab karte huve unhoun ne kaha ke jo kuch huva wo bohat dil dhula dainay wala hai aaj ki mohazab duniya mein is terhan ki qatal o gharat giri ko kisi bhi lehaaz se sahih nahi tehraya ja sakta balkay ye Hindustan jaisay azeem jamhoori mulk ke maathey par ek siyah daagh ki terhan hai. Unhoun ne kaha ke munafirat ki yahan jo aag lagai gayi is ne ek aisay baday ilaqay ko jala kar khakistar kardiya jahan  Hindu Musalman barsoun se mohabbat aur akhuwat ke sath rehtay aeye they. –YTN STAFF