New Delhi : Delhi pradesh congress nay qaumi dar-ul-hukoomat mein subah rani jhansi road ke nazdeek anaaj mandi mein paish aaye atishzadgi ke waqea par gehra dukh ka izhaar kiya aur is haadsay ke liye Delhi hukoomat aur Delhi municipal cooperation ( MCD ) ko zimmedaar tehraya. Delhi congress ke reyasti sadar subhash chopra, sabiq wazeer Haroon Yousuf aur sabiq rukan-e-parliment jaya prakash Agarwal nay dawakhane ka doura karte hue zakhmion ki Khair aafiat ki aur unke ahal-e-khanah se hamadardgi ka izhaar karne aur unki himmat bandhnay ki koshish ki.
Chopra nay is aatishzadgi ke waqea ke liye Delhi hukoomat aur MCD ko zimmedaar tehraya. unhon nay kaha ke ye haadsa ilaqay mein be-tarteeb galiyoun mein phailay taroun ki wajah se pesh aaya hai. Delhi hukoomat ki taraf se mehlookin aur zakhmion ke ahal-e-khanah ko imdadi raqam diye jane ke elaan par radd-e-amal zahir karte hue kaha ke kisi ki mout ki talaafi paisoun se nahi ki jasakti.
Adalti jaanch ka hokum
Delhi ke chief minister Kejriwal nay Rani jhansi road ke nazdeek anaaj mandi mein ek chaar manzila imarat mein lagi shadeed aag ke adalti tehqiqaat ka hukum diya hai aur halaak shadgan ke ghar waloun ko 10 laakh aur zakhmion ke ghar waloun ko ek laakh rupay bator imdadi raqam dainay ka elaan kiya hai.
Chief minister Delhi nay kaha ke is muamlay mein jo bhi qusurvaar hoga usay sakht se sakht saza di jayegi. Kejriwal nay subah jaye wuqoo ka dorah kare halaak shudgan ke ghar walon ko fi kas 10 laakh aur zakhmion ke ghar walon ko fi kas ek laakh rupay bator madad dainay ka elaan kiya hai. jaye wuqoo ka dora karne ke baad LNJP jaakar zakhmion se mulaqaat ki. yahan doctoron se bhi baat cheet karkay zakhmion ka ahwaal maloom kiya aur kaha ke zakhmion ke ilaaj ka kharch Delhi hukoomat uthayegi.
Is shadeed haadsay mein ab tak 43 afraad ki mout hochuki hai aur jhulse logon ko raam manohar lohya, hospital, safdarjung, lady hoarding aur lok naik jaya prakash dawakhana mein daakhil karwaya gaya hai. –YTN STAFF