New Delhi: Delhi mein Assembly intikhabaat ki tareekh tye karne ke liye Chief Election Commissioner aur deegar aala hakkaam mulaqaat kar rahay hain. Is silsila mein Election Commission ne jumaraat ko ejlasoun ka silsila shuru kiya. Zaraye ke mutabiq Delhi mein 22 February se qabal intikhabaat honay hain, Kyunkay mojooda Assembly ki miyad feb 2020 mein khatam horahi hai.
Commission ke ek ohdedar ne bataya ”Delhi ke 70 rukni Assembly ke intikhabaat ki tarikhoun ka faisla karne ke liye ejlasoun ka silsila jari rahay ga aur is ka elaan jumaraat ko lunch ke baad kiya jayega’. Chief Election Commissionaire Sunil Arora aur Election Commissioner Ashok Lavasa aur Sushil Chandra dosray ohdedaroun se mulakatoun ke pehlay daur mein mojood they. Ejlaas subah 10 bajey yahan Election Commission ke daftar mein shuru huva.
Doosri janib, Assembly intikhabaat ke liye muhim shuru ho chuki hai. Aam Aadmi Party, Bhartia Janta Party aur Congress Party ke qaideen logoun se mil rahay hain aur programoun ka aaghaz kar rahay hain. Delhi ke wazeer aala Arvind Kejriwal ke liye ye intikhab bohat bada imthehaan hoga kyunkay un ki party ne 2015 mein Delhi ke intikhabaat mein umdah karkardagi ka muzahira kiya tha. Lekin 2014 aur 2019 ke Lok Sabha intikhabaat mein Aam Aadmi Party ki karkardagi achi nahi thi. Delhi mein, Ghar, taleem aur Delhi ko riyasat ka darja dena, Ye ahem mudday hain.
Kejriwal ne guzashta haftay kaarkunon ko bataya tha ke Aam Aadmi Party ne 2015 mein jitni bhi nashistain haasil ki thi, Is se ziyada nashistain Jeetna hai. 2015 ke intikhabaat mein, Kejriwal ki party ne 70 mein se 67 nashistain haasil ki thi. Anqareeb Delhi Assembly intikhabaat ki tawareekh ka elaan honay ka imkaan hai. –YTN STAFF