New Delhi: Hindustan aur America ne aaj yahan apne taluqaat ko nai bulandio par pohanchanay aur majmoi aalmi Diplomatic shiraakat daari qaim karne ka elaan kiya aur difai Supply chain ke tabadlah mein a defa karne aur Smuggling, Dehshat gardi aur munazzam juraim se nimatnay ke liye naya nizaam waza karne ka faisla kiya hai.
Wazeer e azam Narendra Modi aur Americi sadar Donald Trump ke darmain yahan Hyderabad House mein huvi chouti ki mulaqaat mein elaan kiya gaya. Is se pehlay Modi ne Trump ka Hyderabad House mein kher muqaddam kiya. Is ke baad dono leaders ke darmain tanhai mein baat cheet huvi. Is ke baad wafaad ke satah par alla sathi mulaqaat shuru huvi. Tanhai mein huvi mulaqaat ke baad mukhtasir bayan mein Modi ne Americi sadar ka rasmi kher muqaddam karte huve kaha ke mein aap ka aur Americi wafad ka Hindustan mein kher muqaddam karta hon. Mein jaanta hon ke aap un dinoun masroof hain phir bhi aap ne Hindustan anay ke liye waqt nikala. Is ke liye mein aap ka shukarguzar hon.
Trump ne Hindustan ke doray par apni khushi ka izahaar kartay huve kaha ke guzashta 2 dinoun bilkhushoos kal Stadium mein mere liye baday aezaz ki baat thi. Wahan aeye loog shayad mere muqablay mein aap ke liye ziyada hon ge. Ek lakh 25 hazaar loog wahan they. Har martaba jab bhi mein ne aap ka naam liya, Inho ne khusi ka izhaar kiya. Loog aap ko pyar karte hain.
Wafad ki satah ki mulaqaat mein dono mumalik ke darmain kayi ahem maahdoun par dastakhat kiye gaye jin mein taqreeban 3 Arab Dollars difai saudey shaamil hain. Difaa aur salamti, Tawanai o Security, Science aur Technic , Tijarat aur sarmaya kaari ke ilawa mukhtalif shobo aur aalmi masail par bhi dono mumalik ke darmain baat cheet huvi.
Modi ne apne Press bayan mein kaha hai ke Metro mein kal munaqqid Programme mein Trump ka kher muqaddam ghair-maa’mooli aur tareekhi raha hai jo hamesha yaad rakha jaye ga. Is se pata chalta hai ke Hindustan aur America ke taluqaat hukoomatoun tak mehdood nahi hai balkay awam ke zareya chalaye jarahi hai aur awam markooz hai.
Unhoun ne kaha ke hamari shiraakat dari 21 we sadi ki sab se ahem shiraakat daari hai jisay aaj hum ne majmoi aalmi Diplomatic shiraakat daari ki satah tak le jaaane par razamandi ka izhaar kiya hai.
Wazeer e azam ne kaha ke dono leaders ke darmain aaj is majmoi aalmi Diplomatic shiraakat daari ke har pehlu par baat huvi hai. Difaa aur salamti, Diplomatic Energy salamti, Technology taawun, Aalmi taawun, Tijarti taluqaat aur awam se munsalik sabhi masail par baat cheet huvi hai. Hum jadeed difai alaat ke husool ki simt mein agay badh rahay hain. Difai pedawar ke shoba mein tabadlah aur ek dosray ki difai farahmi chain mein shiraakat daari ka faisla kiya hai.
Unhoun ne kaha ke androoni salamti ke muamlay mein manshiat ki smuggling, is se munsalik dehshat gardi avrmnzm juraim se nimatnay ke liye aik mushtarqa nizaam bananay ka faisla kya hai. tijarti muahiday ke barey mein moodi ney kaha hai ke dono mumalik ney aik barray tijarti muahiday par baat cheet shuru karne ka faisla kya hai. wazeer tijarat o sanat apne Americi hum mansab se is masla par baat cheet karen ge. –YTN STAFF