Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaDehli ka Nizamuddin ilaqa ban gaya dosra Shaheen Bagh

Dehli ka Nizamuddin ilaqa ban gaya dosra Shaheen Bagh

New Delhi: Delhi ke Shaheen Bagh ke baad dar-ul-hukoomat mein Nizamuddin ilaqa CAA aur NRC ke khilaaf ehtijaj ka ek aur markaz ban sakta hai. Itwaar ke roz se hi is ilaqay mein ek jagah par taqreeban 500 loog jama ho gaye hain, Khaimay lagaye gaye hain aur wahein par dera daaley hue hain.

Is Barapullah flyover par gadiyoun ki naqal o har kat rokk sakti hai. Muzahireen saaf tor par keh rahay hain ke ”Ham kisi ko takleef puhnchaye baghair pur aman ehtijaj kar rahay hain. Deputy commissioner of Police ( DCP ) junoob mashriqi, Chinmoy Biswal ne peer ko bataya ke muzahireen, Ziyada tar Nizamuddin ke dehi ilaqoun ke rehaishi wahan jama hue they.

Delhi police commissioner Amulya Patnaik ko Nizamuddin ehtijaj ke barey mein bataya gaya hai, Chunkay is case ko hassas samgha jata hai, Lehaza koi bhi police officer is ke barey mein baat karne ko tayyar nahi hai. Jab un se poocha gaya to DCP Biswal ne kaha ke yaha par aman hai. Ek park mein qareeb 300 se 400 khawateen aur baithy they, unhoun ne bataya ke markazi sadak khuli thi.

Shaheen Bagh ehtijaj ki wajah se Sarita Vihar, Kalindi Kunj  aur DND flyway se guzarnay wali saheli Noida Road par traffic mutasir hui hai. Police ne Noida, Kalindi kunj, Sarita Vihar Road par barricades  lagaye hain. Khufia Agencio ke mutabiq, Ehtijaj bada hosakta hai aur sadkoun par phail sakta hai. Aur agar aisa hota hai to, Barapullah flyover mutasir hoga.

Nizamuddin Police station ke ek ohdedar ne kaha ”hidayat ye hai ke muzahireen par nigah rakhi jaye aur is baat ko yakeeni banaya jasakay ke inhen pareshani peda karne ka koi mauqa nah miley.

Itwaar ke roz jab police ne muzahireen ko khaimay laganay se roknay koshish ki tu khawateen ne police se muqaabla kiya ”Ham yahan kisi qisam ke nuqsaan ka sabab nahi hain. Hum sirf sukoon se bathain ge. Tent ke baghair. Sard ratoun mein hamaray liye aur bachoun ke liye mushkil ho jayegi. –YTN STAFF