Tuesday, May 13, 2025
HomeLatest NewsDegree Colleges Mein 15 May Se Dakihloun Ka Aaghaz

Degree Colleges Mein 15 May Se Dakihloun Ka Aaghaz

Hyderabad: Degree courses mein dakhlay ke liye Degree Online Service Telangana ( DOST ) ki janib se is saal darkhwasten 15 May se shuru ki jarahi hain jis ke tehat talba apni pasand ke ek hazaar Colleges mein 200 se zayed UG Courses mein dakhlay ke liye 6 mukhtalif universition mein apni darkhwast dey sakte hain aur yeh universities Osmania, kakatiya, Palamuru, satawahana , Telangana aur Mahatma Gandhi University hain. dakhlay ke liye online karwaiyon ka 15 May ko aaghaz hoga aur 16 mein se registration ka aaghaz kardiya jayega. registration ke liye riyasat bhar mein 76 help line mojood hain jis ke zariye talba apni matlooba madad haasil kar sakte hain. alawa azeen azlaa ke headquarters per maqsoos help line centers bhi qaim kiye gay hain taakay talba ko dakhlon ke husool mein sahuliyaat honay ke alawa unke masail ki yaksoi bhi ki jaye .

Rawan baras se talba apne matlooba college ko online report karne ke alawa fees ki adaigi bhi online hi kar sakte hain. fees ki adaigi ke liye T-wallet ki khidmaat se bhi istifada kiya ja sakta hai. talba ki janib se darkhwast masool honay ke baad Merit ki bunyaad par inhen dakhlay diye jayenge. is baat ka bhi gumaan kiya ja raha hai ke Telangana mein intermediate ke nataij ke jo tanazeaat peda hue hain is ki wajah se degree mein dakhlon ke liye kisi qadar sahulat faraham ki jayengi taham riyasat Telangana mein UG programme ke liye jamaaton ka aaghaz 1st July ko hoga . –YTN STAFF