Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadDegree aap ko nokari nahi dilasakti

Degree aap ko nokari nahi dilasakti

Hyderabad: Under Graduate aur Post Graduate Degree haasil karne ke bawajood mutadid nojawan corporate duniya ka hissa nahi hain ya 9 se 5 nokari bhi nahi hain. Dar haqeeqat woh apne afraad khandan ki kifalat ke liye mamooli mulazimaten kar rahay hain. Haal hi mein HMWSSB se mulazimat se hataye jane walay mutadid mulazimeen dar haqeeqat qabil Engineer thay. Is ki tasdeeq karte hue Supervisor mein se ek P Prashant jin ko bhi nokari se hata diya gaya tha woh B.Com Degree holder hai Degree hai liken nokri nahi.

Apni aap beete sunaate hue unhoun ne kaha ke mujhe yeh nokari karni pari kyunkay mere khandan ki dekh bhaal ke liye paisa kamanay ke ilawa koi dosra rasta nahi tha. Agarchay mein ek Supervisor tha lekin mein nalion mein utartaa tha aur inhen saaf bhi karta tha. Mein bohat se mazdooron ko jaanta hon jo sewerage ki safai karne wali mukhtalif teams ka hissa hain woh Engineering Graduate bhi thay.

Shehar mein Taxi chalanay wala ke Pratap darasal ek MBA Graduate hai. Unhoun ne kaha hai ke mein ne khangi mulazimaton ke liye bohat koshish ki lekin mujhe mulazimat nahi mili. Mujhe jo mulazimat mil bhi jati is mein thankhowa kam millti thi jis se mein mere khandan ki kifalat nahi kar sakta tha lehaza mein ne ek Taxi chalanay ka faisla kiya taakay mein maqool zindagi guzaar sakoo.

Ek aur Taxi Driver B Ravi ne BSC ki taleem mukammal ki hai lekin mulazimat nahi mil saki. Is ne apni koshish ka tazkara karte hue kaha ke mein ne sarkari mulazimat ke liye bohat koshish ki lekin mujhe kuch nahi mila. Mein aisay khandan se nahi aaya hon jo kaam kiye baghair hi zindah reh sakoo. Mein gaadi chalana jaanta tha lehaza mein ne Taxi chalani shuru kar di taakay apne afraad khandan ki kifalat kar sakon. Maroof maahir taleem maahir Professor Haragopal ne kaha guzashta barson mein taqriban 80 lakh sarkari mulazimaton mein kami hui hui hai.