Tuesday, April 16, 2024
HomeEntertainmentDeepika Padukone, Sara Ali Khan aur Shradhha Kapoor ko summoned

Deepika Padukone, Sara Ali Khan aur Shradhha Kapoor ko summoned

Mumbai: Bollywood adakara Deepika Padukone, Sara Ali Khan , Shradhha Kapoor aur Rakul Preet Singh ko Sushant Singh Rajput muqadma ke zimn mein manshiat ki tehqiqaat ke herat angaiz moud mein Narcotics Control Bureau ( NCB ) ne talabb kiya hai aur un ke khilaaf saman jari kardiya gaya hai. Tenun adakaron ko aglay 3 din mein pesh honay ki hidayat di gayi hai Film Industry se wabasta manshiat ke ilzamaat ki wasee pemanay par tehqiqaat mein samnay anay walay yeh intehai aala tareen naam hain, Jo 14 June ko adakar Sushant Singh Rajput ki mout ki tehqiqaat ke douran samnay aeye thay.

Deepika Padukone ko kal jummay aur Rahul Preet Singh ko kal jumaraat ko talabb kiya gaya hai. Hukkaam ne kaha hai ke Sara Ali Khan aur Shradhha Kapoor se haftay ke din pooch gach ki jaye gi aur kal Fashion designer Simone Khambatta se bhi pooch gach hogi.

Deepika Padukone ke business manager Karishma Prakash se bhi is muamlay mein jummay ke din pooch gach ki jaye gi ke Narcotics Control Bureau ne Rhea Chakraborty ke mobile phone se haasil kardah WhatsApp paighamaat ki bunyaad par muqadma dayer kiya tha, Jis mein manshiat ki kharidari ke baray mein baat cheet ka inkishaaf huwa hai.

Mobayyana tor par talent Agency ke Executive Jaya Saha ke phone ke zareya manshiat ka intizam karne ke baray mein WahtsApp cheat samnay anay ke baad, Mobayyana tor par Bollywood ki aur mulk ke aala adakaron mein se ek Deepika Padukone ke kirdaar ko talaash kar rahay hain Shradhha Kapoor ka naam Jaya Saha se haasil kardah chats mein bhi mobayyana tor par nikla, Jis se bhi pooch gach ki jarahi hai.

Mumbai mein talashi ke douran 59 gram chars zabt honay ke baad darj ek allag muqadma mein 28 sala adakara Rhea Chakraborty ko giraftar kiya gaya tha. Insidaad manshiat ki agency ne is par Sushant Singh Rajput ke liye manshiat ka intizam karne ka ilzaam ayed kiya hai, Jis ne guzashta chand mahino mein is ke sath rahi thi.