Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadDedh sau saala qadeem darul shifaa government high school ki khasta haal...

Dedh sau saala qadeem darul shifaa government high school ki khasta haal imaarat masail ke ambaar se pareshan

Hyderabad: Naaqis infrastructure hukoomati adam tawun aur asateza ke masail se saqt mutasir darul shifaa ke government high school arbab majaaz ki fauri tawajjeh ka talab gaar hain. School ke hukkam ne kaha ke walidain classroom ki kharab halaat aur buniyadi sahulat ki kami ki wajeh se apne Bacho ko school bhejne mein hich ki chahat ka shikar hain. Darul shifaa school ki khasta haal imaarat taqreeban 150 saal qadeem hai. Is imaarat mein ek dawaqana tha. Iske baad yeh government high school mein tabdeel hogaya.

GHMC ki hudood mein taqreeban 1205 urdu medium school the jo ab kam hoker 815 hogaye hain. Muhkama taleem GHMC ki hudood mein sarkari Urdu medium schools mein behtar sahuliyat ko yaqeeni banane mein mukammil taur par na kaam ho chuka hai. Collector aur DIO ko school ki halat ka sanjeedgi se notice lena chahiye aur tulaba ki zarooriyat ko pura nahi karna chahiye.

Jab TOI ne deputy education officer Syed khaja mukarram se raabta kiya toh unho ne bataya ke school ki taraf se jamaa karayi gayi darqaste bhej di gayi hain aur hukoomat ki taraf se schools mein zarooriyat ke hawale se talab ki gayi tajweez apne aakhri marhale mein hain. Yaad rahe ke darul shifaa government high school joh ke shehar ka sab se qadeem school hai is waqt bohut hi qasta haal hai aur buniyadi sahuliyat se mehroom hai. walidain aur karkunaan is ki haalat se pareshan hain. Jab koe school ka daura karta hain toh yeh koe faida mand daura nahi hota balke masayil joonke toon rehte hain.

Is school mein ladkiyon ke liye koe alag baitul qalaa nahi hain. School mein urdu aur angrezi dono medium ke taqreeban 120 tulaba hain joh ghareeb aur pasmanda khandano se taluq rakhte hain school mein furniture desk bench lights fans ki kami hai. Baitul qalaa mein safayi ka fuqdan hai qadeem school mein masayil ke ambaar hain lekin hukoomat ke kaan par joon tak nahi reng rahi hain.