Saturday, May 18, 2024
HomeSportsDeccan Chargers ko IPL se hataane par BCCI par 4800 Crore ka...

Deccan Chargers ko IPL se hataane par BCCI par 4800 Crore ka jurmana

Hyderabad: Hindustani Cricket Control Board ( BCCI ) ko Indian Premier League ( IPL ) ki ibtidayi 8 Teams mein se ek Deccan Chargers ko IPL se baher karna mehanga padh gaya hai aur ab is par 4800 crore rupiye ka jurmana aayed kiya gaya hai. Is muamlay mein adalat ke zareya muqarara Arbitrator ney BCCI ke khilaaf faisla sunaate huve 4800 Crore ka jurmana ayed kiya hai. Ye maamla 2012 ka hai.

Deccan Chargers ney 2009 mein IPL ka khitaab jeeta tha aur is waqt team ke captain Australia sabiq Captain Adam Gilchrist thay. Khayaal rahay ke 2008 mein Deccan Chargers ibtidayi season ki 8 Teams mein se ek team thi jo 2012 tak IPL mein rahi. Deccan Chargers ka malikana haq pehlay angrezi akhbar Deccan Chronicle ke paas tha. Hyderabad ki is team ko 15 September 2012 mein IPL se baher kardiya gaya tha. Is ke baad Sun TV Network nay Hyderabad Frances ki boli jeeti aur phir Sunriser Hyderabad team IPL mein aagai. Deccan Chronicle Holdings ne is faislay ke khilaaf High Court mein Appeal ki thi.

High Court ne Supreme Court ke Retire Judge CK Thakkar ko 8 saal pehlay arbitrator muqarar kiya tha. arbitrator ne apna faisla Deccan Chargers Holding ke haq mein diya. Arbitrator ne BCCI par 4800 crore ka jurmana ayed kiya hai. Is ke sath board ko 2012 mein maamla shuru honay ke baad se har saal ke liye 10 feesad sood aur 50 lakh rupiye ki fees bhi dainee hogi. Is darmain BCCI ke aboori CEO Hemang Amin ne kaha ke inhen is faisla ki Copy nahi mili hai aur usay padhnay ke baad hi BCCI agay ki karwai tey kere ga.