Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadDawakhno aur Masjid ki muft parking ka ghalat istemaal, awam ko pareshani

Dawakhno aur Masjid ki muft parking ka ghalat istemaal, awam ko pareshani

Shehar Hyderabad aur khaas kar Charminar aur is ke atraaf ke ilaqon mein khareed vfrokht ke liye ane walay afraad ko parking ka bara masla hota hai jabkay saaray shehar ka bhi yahi haal hai ke gadi thairne ke liye munasib jagah dastyab nahi hai aur bohat se log apni gadiya masajid aur sarkari dawakhane mein parking ki muft sahuliyaat ka ghalat faida bhi utha rahay hain.

Un maqamat par kuch gadiya din,hafte aur ek mahinay tak bhi khadi hoti hain. Neez dawakhane mein do pahiyo aur cars ki be dhang parking ambulance ki naqal o harkat mein rukawat ka baais ban rahi hain. Telangana aur Andhra Pradesh ke logon ke liye kharidari ke liye pasandeeda aur ahem market, begum bazaar market ki qurbat ki wajah se Osmania dawakhana mein parking se masail ka saamna ho raha hai. Begum bazaar market mein kharidaron ki kaseer tadaad ki wajah se osmania dawakhana aur yahan mojood masajid mein parking se mareezon aur masliho ko barri mushkilaat ka saamna karna par raha hai. Osmania ke gate aur  pi imarat ke aas paas kharidaron ki janib se parking ke sabab pareshani peda horahee hai. Begum bazaar market jane walay log apni gadiya dawakhana ke samnay wali sarrak par barri aasani se park karte hain. Yahan tak ke dukana walay bhi hain jo apni gadiya dawakhana ke andar khara karte hain jo dawakhana ki hungami khidmaat mein rukawat ka sabab ban rahay hain. Baaz auqaat ambulance ko bhi dawakhana se bahar jane mein pareshani ka saamna karna parta hai. Osmania dawakhana ki o pi imarat aur qulli qutub Shah ki imarat amli tor par ek auto stand mein tabdeel hogayi hai jis ki wajah se

mareezon ko ilaaj mualjay ke liye laya jane wali ambulance ko be had masail ka saamna karna padhraha hai. Osmania ke superintendent Dr nagindar ne kaha ke dawakhana ke under gair qanooni parking ke khilaaf sakht karwai ki jaye gi. Darin Isna Gandhi ke dawakhana mein bhi maamla aisa hi hai. Dawakhana ke hakkaam ne tasdeeq ki ke Gandhi dawakhana mein bhi darjanon gadiya be daregh khadi hain aur chori ke bohat se waqeat runuma hue hain. Holidays ke liye jane walay log khaas tor par secundarabad railway station se jane wala log apni gadiya hafton tak dawakhana ki parking mein chodh dete hain. Dawakhana ke ek ohdedar ne kaha hai kayi gadiya ek mah se yahan pari hui hain aur woh ambulance ke rastay mein rukawat banti hain.