Monday, April 21, 2025
HomeSliderDawakhane ke samnay bheek mangnay wali khatoon ke bank account mein 14...

Dawakhane ke samnay bheek mangnay wali khatoon ke bank account mein 14 crore

Beirut : Hamaray yahan yeh aam khayaal hai ke raastoun aur khaas kar traffic signals ke paas bheek mangnay walay gadagaron ke paas bank balance kaafi mota hota hai aur kayi ek  aisay waqeat manzar-e-aam par aaye hain jis mein gadagar asal mein crorepati nikla jiske paas gaadi, bangla aur bank balance sab kuch moujood tha.

Aksar raastoun par mangnay walay mlitay hain, un mein aksariyat ki tadaad khud ko maazoor zahir kar ke bhikaari bantay hain aur logon se paise mangte hain, isi tarhan ek  haeran waqea ab Lebanon se samnay aaya hai jahan gadagar khatoon ke bank account se 13 crore rupay miley hain.

Tafseelaat ke mutabiq Lebanon ki bhikaari khatoon ke bank account se 33 laakh UAE dirham ( 9 laakh Amrici dollar ) ke baqadar raqam ka inkishaaf hua hai jo rupay mein taqreeban 14 crore hotay hain. yeh inkishaaf is waqt hua  jab Amrici mehakma khazana ne Lebanon ke jamal trust bank ko band kiya.

August mein Amrici intizamia ne mubayyana tor par Hizb-ullah ki maliyati madad ke ilzaam lagaya tha jisske baad labnani hukoomat ne bank band kardiya tha.

Lebanon mein markazi bank ke governor ne jamal trust bank ke khaatey-daaroun ko yaqeen dilaya hai ke bank band honay ke bawajood unki raqam mehfooz hai. chand roz qabal labnani markazi bank mein do cheque diye gaye jo social media par mashhoor hue aur dono check khatoun wafa Mohammad alawad se taaluq rakhtay they. is douran maloom hua ke ek khatoon bhikaari ke check hai jo 18 laakh dirham aur 14 laakh dirham ki maliyat ke hain. yeh khatoon pooray din shehar ke badey Dawakhane ke bahar bheek maangti rehti hain aur Hajan-wafa ke naam se mashhoor hain.

Dawakhana ka amlah is khatoon se waaqif hai aur jaisay hi unki be-tahasha doulat ki khabar mashhoor hui logon ne wafa par haerat ka izhaar kiya hai. jaisay yeh khabar aalmi satah par aayi to har koi haeran reh gaya aur jungle ki aag ki tarha yeh khabar mashhoor hogayi. –YTN STAFF