Friday, March 29, 2024
HomeJurmDawakhana mein khofnaak atishzadgi, 10 nou-zaida halaak, Modi aur Rahul ka izhaar-e-gham

Dawakhana mein khofnaak atishzadgi, 10 nou-zaida halaak, Modi aur Rahul ka izhaar-e-gham

Pune: Maharashtra ke zila Bhandarah ke ek sarkari dawakhana mein hafta ko khofnak atishzadgi ke nateejay mein 10 nou-zaida bachay dam todh gaye.

Dawakhana ke civil surgeon dr ne kaha ke child care ward mein ek se teen mah tak ki umar ke 17 bachon ko rakah gaya tha. Aaj subah ek nurse ne dekha ke is ward se dhuwan nikal raha hai, is waqea ki doctoron ko foran ittila di gayi. Dawakhane ke amlay ne bachon ko bachanay ki koshish ki jis mein 7 bachon ko hi bachaya jaska jabkay baqi 10 bachay halaak hogaye.

Dawakhane ke zaraye ke mutabiq subah 9 bajey ke qareeb child care ward mein aag bhadak uthi. Aag lagnay ki wujohaat ka ilm nahi hua hai lekin khadsha hai ke yeh waqea short circuit ke baais paish aaya hai. Fire brigade ke aatish faro amlah aag par qaboo panay ki koshish ki. Dr ne mazeed kaha ke jaan bahaq honay walay bachon ke walidain ko is waqeye ke baray mein aagah kardiya gaya hai jabkay haadsay mein zindah bach jane walay saat bachon ko dosray ward mein muntaqil kardiya gaya haya.

Darin-isna Maharashtra ke chief minister darin asna wazeer-e-Azam Narendra modi ne Maharashtra ke Bhandara district Dawa khana mein atishzadgi ke baais 10 nou-zaida bachon ki mout par gehray ranj wo gham ka izhaar kya hai.

Modi ne is Dil-dos waqea par gehre ranj o gham ka izhaar karte hue kaha Maharashtra ke bhandara mein ek dil dehlane wala waqea jahan hum ne qeemti masoomoun ko khodiya. Mein tamam ghumzdaa khandano se izhaar-e-taaziyat karta hon. mein zakhmion ki jald se jald sehat yabi ke liye dua go hon. alawa azeen congress ke sabiq sadar Rahul gandhi ne Maharashtra ke bhandara ke district hospital mein lagnay wali aag se honay wali nou-zaidoun ki mout par gehray ranj wo gham ka izhaar kya. Unhon ne sabiq markazi wazeer Maadhu singh solanki ki mout par bhi taaziyat kiya.

Maharashtra ke Bhandara district hospital mein atishzadgi ke waqea ko ek Dil dehalen wala waqea qarar dete hue Rahul Gandhi ne is waqea mein jaan bahaq honay walay bachon ke lawahiqeen se izhaar-e-taaziyat kiya aur umeed zahir ki ke reyasti hukoomat is waqea mein jaan ganwanay aur zakhmi honay walay nou-zidoun kumba ko har mumkin madad karegi.