Monday, May 20, 2024
HomeSliderDavid warner series se bahar

David warner series se bahar

Sydney: Hindustan ke khilaaf 3 matchon ki series ke dosray odi mein 51 runs se kamyabi darj karne ke baad Australia ke captain aaron finch ne kaha tha  ke unhein nahi lagta ke david warner teesray aur aakhri odi ke liye dastyab honge lekin baad-e-azan warner ki tibbi report ke baad inhen series ke baqi hissa se bahar hojane ka elaan kiya gaya hai.

Dosray ODI mein  kamyabi ke sath hi australiyai ne 3 matchon ki series mein 2-0 ki na-qabil-e-shikast bartari haasil karli.

Hindustani bowlers ko ek baar phir sakht mehnat karna padi aur iske nateejay mein maizban team ne 4 wicketon ke nuqsaan par  389  ka himaliyai score  khada kiya. Steve smith ne 104 runs ki inning kheli jabkay david warner ne 83 runs banaye. Hindustan ke liye  sirf virat kohli ( 89 ) aur KL Rahul ( 76 ) numaya thay. autraliyai team  ne 51 runs se aasaan kamyabi ke sath series bhi  sametli. Is mauqa par kamyabi ke baad khushi ka izhaar karne   walay maizban captain finch ne  warners ki fitness ke baray mein  kaha ke saathi opener ke fitness ke baray mein koi andaza nahi hai. mujhe nahi lagta ke woh ( warner ) teesray odi ke liye dastyab honge. Warner ne jis tarhan se khail khela yeh na qabil yaqeen tha. phir smith ne lagataar do centuria score ki woh na qabil yaqeen hai jisne dono teamon ke darmiyan asal farq paeda kiya.

Yaad rahay ke  warner  ko teen matchon ki series ke dosray odi mein takleef pohanchanay ki wajah se scan kiya gaya hai. warner ne hindustani inning ke douran gaind ka peecha karte hue chhalang  lagayi jis se zakhmi hue. yeh waqea  hindustni inning ke chouthay over mein paish aaya jab   shikhar dhawan ne gaind ko mid off ki taraf khela   jaha warner ne gaind ko roknay ke liye ek chhalang  lagayi thi. tab hi warner kuch takleef mein dikhayi diye. baen haath ke batsman ko Australia ke physio ki madad se maidan se bahar lejana pada.  Warner ke bahar honay ke alawa fast bowler pat Cummins ko bhi mehdood overs ki series ke baqi hissa ke liye bhi aaraam diya gaya hai  aur umeed ki jarahi hai ke 17 December ko shuru honay walay pehlay test mein un ki wapsi hogi.