‘Sheer Mahi’ ka scienci naam’ Clupisoma Naziri’ hai aur chhootey talabon ya machhli forms mein is ki afzayeish mumkin nahi hai
Pakistan ke dareaye kabul mein payi jaaane wali nayaab machhli’ Sheer Mahi’ achanak gayab hoti ja rahi hai. mousmi tabdeelion, barhti hui aabi aloodgi aur gair khanooni shikar ke baayes’ sheer mahi’ khatraat se dochar hai. roznama jung ki report ke mutabiq mahireen ka kehna hai ke agar is janib tavajja nah di gayi to trauot jaisi lazzat rakhnay wali machhli ki yeh nayaab nasal bohat jald madoom ho jaye gi. kam kaanton wali yeh nayaab machhli dareaye kabul sameit dareaye Sindh mein bhi payi jati hai aur lambai mein 12 inch taq hoti hai. yeh machhli –apne behtareen zayeqa ki wajah se mashhoor hai aur usay Peshawar , NauSheera aur charsadah azlaa sameit shumal maghribi Pakistan ke log intahi shoq se khatay hain. mahi giron ke mutabiq Sheer lafz irani farsi zabaan se nikla sun-hwa hai, jis ka matlab doodh hota hai, Sheer mahi machhli chiknai aur tail ki khoobiyon se bharpoor hoti hai is liye khanay mein be had lziz hoti hai. is ka scienci naam’ Clupisoma Naziri’ hai aur chhootey talabon ya machhli forms mein is ki afzaish mumkin nahi hai.