Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaDarul Uloom Deoband ne RSS Sarbarah Mohan Bhagwat ke bayan ka khair...

Darul Uloom Deoband ne RSS Sarbarah Mohan Bhagwat ke bayan ka khair Maqdam kiya

Muzaffarnagar : Maroof Islami Darsgah Darul uloom Deoband ne  RSS ke sarbarah Mohan Bhagwat ke hujumi tashadud par pabandi aaed karne ke bayan ki tareef ki hai. jis mein unhon ne kaha hai ke agar RSS ke razakaar kisi bhi qisam ke tashadud mein mulawis paye jatay hain to tanzeem unke khilaaf karwai karne se guraiz nahi karegi.

Is bayan par apne radd-e-amal ka izhaar karte hue darul uloom ke wise chancellor Maulana Abul Qasim Nomani  ne chaharshambe ke roz media numaindon ko bataya ke ”Hujumi tashadud ( Mob Lynching ) se mutaliq RSS ke sarbarah ke bayan ka khair Maqdam kiya  jana chahiye, lekin, sirf aisay waqeat ki mazammat karna aur unki himayat nah karna kaafi nahi hai. Mob Lynching ke waqeat ko roknay ke liye ek munasib qanoon ki zaroorat hai.

Jamiat Ulema-e-Hind (JUH) sarbarah Maulana Syed Arshad Madni, jinhon ne haal hi mein RSS rehnumao ke sath ek meeting ki thi aur hujumi tashadud sameit mukhtalif umoor par tabadlah khayaal kiya tha, ne bhi RSS ke sir barah ke is elaan ki tareef ki hai.

Molana ne kaha ke ”yeh sun kar acha laga. mere khayaal mein woh hamaray zareya uthaye gaye masail ko hal karne ke liye iqdamaat kar rahay hain. unhon ne kaha ke firqa waranah hum ahangi ke baghair mulk taraqqi nahi kar sakta aur RSS ke sarbarah ne jo kaha woh acha hai aur hum is ka khair Maqdam karte hain.

Wazeh ho ke RSS sarbarah Mohan Bhagwat ne mangal ko kaha tha ke ”unki tanzeem har tarhan ke tashadud ke khilaaf hai aur iske razakaar ( Swem sevak) aisay waqeat ko roknay ke liye kaam kar rahay hain. RSS ke sarbarah ne ghair mulki sahafion ke ek group se guftagu karte hue kaha ke agar koi razakaar (Swem sevak) qusurwar paaya jata hai to hum is ke khilaaf karwai karenge. –YTN STAFF