Adilabad: Kalyan Laxmi Scheme ke Cheque ke zaroorat mand apni darkhwast dabbay mein daal den, Pattdar Passbook Box mein tabdeeli ke liye mutaliqa ohdedar ko mail kar dein. Telangana ke mutahidda zila Adilabad ke Revenue Department ne anokhi pehal ki hai jo coronavirus ke pesh e nazar ki gayi hai. Is ka maqsad logoun ko daftar mein anay se rokna aur un ki hosla shanki karna hai. Is maqsad ke liye daftar mein Drop Box rakha gaya hai taakay darkhwast guzar apni darkhwasten is Drop Box mein daal den aur daftar mein nah ayen. Is terhan hukkaam corona ki rokk thaam ke liye munasib ahthiyat kar rahay hai. Is virus ko phelnay se roknay ke liye samaji faasla ko yakeeni banaya jaraha hai.
Darkhwast guzaroun se khwahish ki gayi hai ke apni darkhwastoun ko raast tour par dainay ke bajaye is dubba mein dalain. Ye dubba is maqsad ke liye khaas tor par banaya gaya hai. Hukkaam ne ziyada se ziyada khidmaat ko online karne ka faislah kiya hai. Is silsila mein daftar mein notice lagai gayi hai. Adilabad ke MRO Bhujan ne kaha ke awam ko chahiye ke wo chhootey masail par daftar nah ayen. Wo MEE SEVA aur mail ki khidmaat se istifada kar saktay hain. Darkhwasten masool honay ke baad hukkaam un ki jaanch karen ge aur is ke mutabiq kaam karen ge taham kayi darkhwast guzaroun ne is faisla par adam itminan ka izhaar kiya hai. Unhoun ney sawal kiya ke aam dinoun mein jab un ki darkhwastoun ki munasib waqt par yaksoi nahi hoti hai to phir wo kis terhan is dabba mein un ki darkhwastoun ko daalnay ke baad bar waqat un ki yaksoi ki tawaqqa kar saktay hain.