Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadDariya Godavri Se Hyderabad Ko Pani Ki Sarbarahi Ka Project Hukoomat Ki...

Dariya Godavri Se Hyderabad Ko Pani Ki Sarbarahi Ka Project Hukoomat Ki Ijazat Ka Muntazir

Hyderabad : Hyderabad metropolitan water supply and sewerage board ( HMWSSB) ka ek project jiski laagat 4700 crore rupay hai jiske zariye Dariya godavri ka pani Hyderabad ke puranay shehar ko faraham kiya jana hai lekin yeh project hunooz hukoomat ki ijazat ka muntazir hai. agar hukoomat ki janib se is project ko manzoori mil jati hai to phir godavri ka pani Charminar ko faraham kiya jasakta hai jabkay krishna nadi ka pani ke medchal ilaaqoun ko faraham kiya jayega ya Outer ring road ko bhi yeh pani faraham kiya ja sakta hai.

Hyderabad metropolitan water supply and sewerage board ne yeh project tata engineering consultancy ke ishtiraaq ke sath banaya hai joke Dariya godavri aur krishna ke pani ko hyderabad ke mukhtalif ilaaqoun ko faraham karne ke liye tayyar kiya gaya hai. hyderabad metropolitan water supply and sewerage ke ohdedaron ne kaha hai ke godavari ke pani ko hyderabad ki farahmi ka project aasan nahi tha lehaza intizamia ne maali madad ke liye hukoomat ke kayi deegar idaroun se imdaad ke husool ki bhi koshish ki.

Is zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue Dana kishore ne kaha hai ke HUDCO ne is project ki takmeel ke liye agay atay hue 2000 crore rupay ki madad faraham kar raha hai jabkay baqi raqam riyasti hukoomat ki taraf se haasil ho rahi hain is ke alawa aur finance corporation bhi ek hazaar crore rupay ki maali imdaad faraham kar raha hai is tarhan mukhtalif financial Institutional ki janib se maali imdaad ki farahmi se yeh project haqeeqi roop mein tabdeel honay wala hai.

Power finance corporation ki janib se jo is project ko imdaad haasil horahee hai woh electro Mechanical works ki shakal mein hai jis mein pani ke liye pimping jaisi zaroriat ki takmeel poori ki jayegi. yahan yeh tazkara bhi ahmiyat ka haamil hai ke hyderabad Hindustan ka woh shehar hoga joke is Tarhan ke pani ke nizaam ko haasil karega. 152 kilometer taweel pipeline mein pehlay hi 18 kilometer ki pipe line mukammal ho chuki hai jiske zariye mosam-e-garma mein agar singur aur Manjeera se hyderabad ko pani dastiyab nahi hoga to phir Godavri se pani haasil kiya ja sakay ga- dana Kishore ne mazeed kaha hai ke hamein umeed hai ke aindah 12 kilometer ki takmeel ke baad Rajendra nagar aur Shamsabad ke ilaaqoun mein bhi pani ki qillat nahi hogi lekin is project ke liye hukoomat ki janib se ijazat ka intzaar hai. –YTN STAFF