Qahira: Misr ke dar-ul-hukoomat Qahira mein Dariya-e-Nile par taamer duniya ke sab se choday pull ka iftitah kar diya gaya, jis ka naam guinness book of world record mein bhi darj kar liya gaya hai .
3 baras ke arsay mein 4000 misrion ke musalsal mehnat se tayyar kiya jaane wala yeh pull shumali qahira ke markazi ilaqe ke qareeb hai. Dariya-e-Nile ke pull ki taamer ka sad feesad kaam misrion nay anjaam diya hai. pull ki taamer se darya ke kinare hotlon ka kaarobar badhayga aur qahira shehar mein traffic jaam ka masla bhi kam hoga kyunkay is nay behar Ahmar se bahera room ke saahil ko jodnay wali shahrah ko marboot kardiya hai. arz mein 68.3 meter chauda yeh pull do rawayya hai, jis par badi tadaad mein gadiyon ki aamad wo Raft mumkin ho sakaygi kyunkay is maqsad ke liye 6 traffic lance banai gayi hain. gadiyon ke alawa pull par paidal anay jaane walon ke liye sheeshay ki guzargah ki soorat mein sahoolat bhi mojood hai. pull ka naam Tahiya misar rakha gaya hai, jis ke maienay misar zindah baad ke hain aur is ka iftitah Misri saddar abdul fatah nay kya hai .
Iftitahi taqreeb ke douran Guinness book of world record ke regional director Talal Umar naay Misri aur bain ul aqwami sahafion se guftagu karte hue kaha ke Dariya-e-Nile ke is pall nay canada ke muallaq pull port maan ka record toar diya hai jo 65.2 meter chauda hai. canada ka pull 2012 se duniya ka sab se chauda pull mana jata raha hai .
yaad rahay ke Dariya-e-Nile duniya ke taweel tareen daryaon mein se ek hai. is ka Raqba 6671 kilometer hai. yeh darya nau mumalik Misr, Sudan, junoobi sudan, Uganda, ethiopia, kango, Tanzania se guzarta hai. Dariya-e-Nile ke sarchshme Uganda, tanzania mein paye jatay hain. Dariya-e-Nile ki badolat hi qadeem zamane mein tijarat ko farogh haasil hua tha. mahi giron ka guzara bhi isi darya par hai. Dariya-e-Nile naay sudan aur misar mein sayahat ko bhi farogh diya. sab se pehlay arab sayah nay 1160 mein Dariya-e-Nile ke srchshmon ka inkishaaf kya. kayi logon ka khayaal hai ke Victoria neel hi Dariya-e-Nile ka awleen sarchashma hai. yeh duniya ka dosra bada meethay pani ka chashma mana jata hai. Dariya-e-Nile ke mutadid naam hain. jin mumalik se yeh guzarta hai wahan is ka apna aik naam hai lekin mashhoor tareen naam neel hi hai. usay Victoria neel, albert neel, behar al-jabal, neel Abyaz , neel Izraq aur zabaan mein aabai kehte hain. yonani zabaan mein is ka naam Nilos hai . –YTN STAFF