Saturday, May 10, 2025
HomeSliderDanish khatoon Police ahelkaar ke khilaaf ba-hijab khatoon se galay milnay ki...

Danish khatoon Police ahelkaar ke khilaaf ba-hijab khatoon se galay milnay ki tahqiqaat

Denmark mein Police ne apni aik khatoon ahelkaar ke khilaaf tahqiqaat shuru kar di hai. Iss khatoon Police ahelkaar ka qusoor yeh hai ke iss ne dar-ul-hukoomat Copenhagenmein guzishta mah chehray ke naqaab par Hukoomat ki janib se aayed kardah pabandi ke khilaaf ehtajaji muzahira ke dauran insani hamdardi ke jazbay se maghloob hokar aik naqaab posh khatoon ko galay se laga liya tha. Bartanwi khabar rasan agency Reuters ke photo grapher ne 1st August ko paish aaye is waqeye ki tasaveer bana li theen. Un mein naqaab posh khatoon Denmark bhar mein awaami muqamat par Muslim khawateen ke chehray ke naqaab odhanay par aayed kardah pabandi ke khilaaf ehtijaj ke dauran mein rooti hui nazar aa rahi theen aur unhein is khatoon ahelkaar ne bazahir dilaasa dainay ki koshish ki thi. Mulk ki hukumraan liberal jamaat Venstre ke aik leader Marks Kenth ka kahna hai ke ”iss tasweer ne Police ko ghair raza karana taur par aik bohat hi hassas noiyat ki siyasi bshes mein ulajhney par majaboor kardiya hai”. Un sahib aur dosray naaqideen ne Police ki tavajjoh Social Media par virel honay wali un tasaveer ki janib dilae thi aur uss khatoon ahelkaar ke khilaaf tahqiqaat ka mutalba kya tha. Unn ka kahna hai ke ”Police ka kaam qanoon ka nifaz hai, yeh nahi ke woh qanoon ki mukhalifat karne walon hi ke galay milna shuru hojaye” .