Hyderabad. Sabiq Wazeer Mr. Danam Nagender ney jinhon ney haal hi mein Telangana Rashtriya Samiti mein shumuliat ikhtiyar ki thi, Party Ticket se mehroomi ke khadshaat ke paish e nazar TRS ko khairbad keh dainay ki afwahon ki muzammat karte huwe kaha ke nahi ticket nah dey ye jaaney ki soorat mein woh TRS ki fatah ke liye kaam karen ge. Mr. Nagender ney kaha ke unhon ney ghair mashroot taur par TRS mein shumoliat ikhtiar ki thi aur agar unhen ticket na bhi diya jaye to woh Party ki kamyabi ke liye koshaan rahen ge. Unhon ney id-daa kiya ke intekhabaat ke baad Mr. Chandra Shekhar Rao dobarah Chief Miniter banein ge. Apni rehaish gaah par akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe unhon ne ilzaam ayed kiya ke Congress Party ke qaideen yeh afwaah philarhe hain ke woh TRS chode rahay hain. Mr. Danam Nagender ke barey mein yeh mashhoor hai ke woh ujlat mein faislay karte hain. Iss se qabal bhi Dr Y S Rajshekhar Reddy ke zamana mein jab unhen halqa Assembly Nampally se ticket na dete huwe halqa Lok Sabha Secunderabad se muqaabla karne ki peshkash ki gayi to unhon ney usay qubool na karte huwe Telugu Desam Party mein shumoliat ikhtiyar karli thi aur Telugu Desam ke ticket par Nampally halqa Assembly se kamyabi haasil karli thi taham unhon ney Dr. Rajshekhar Reddy ki kabeena mein jagah panay ke liye Telugu Desam Party aur Assembly ki rukniat se istefa dete huwe dobarah muqaabla kiya tha jis par unhen nakami ka saamna karna pada tha. Unhon ney Assembly halqon ki darjah bandi ke baad Khairtabad halqa Assembly se Congress ke ticket par muqaabla kiya tha magar bad qismati se woh 2014 ke Assembly intekhabaat mein aik baar phir shikast se dochar hogaye thar. Ab ayen intekhabaat se qabal unhon ney Congress ko aik baar phir kherbad kehte huwe barsareqhtedar TRS mein shamoliat ikhtiyar karli thi. Un ki shamoliat ke 2 hafton baad hi Mr. K. Chandrashekhar Rao ney Assembly tahleel kardiya aur 105 umeedwaron ki pheli fehrist bhi jari kar di jis mein un ka naam shaamil nahi kiya gaya. Agarchay TRS ney hanooz Khairtabad se Party Ticket kisi ko nahi diya hai magar siyasi halqon mein yeh baat mashhoor hogayi ke Mr. Danam Nagender ko iss martaba Assembly ka Ticket nahi diya jaye ga balkay unhen Lok Sabha intekhabaat ke liye tayyar kiya ja raha hai jis se woh nakhush hain. Ab yeh chay megoyiaan bhi shuru hogayi theen ke woh TRS ko bhi chod dainay walay hain.