Thursday, May 16, 2024
HomeSliderDakar Rally, Saudi Arab mein 5 January ko ek aur baday...

Dakar Rally, Saudi Arab mein 5 January ko ek aur baday Sports event ka aaghaz

Riyadh: Saudi Arbia rawan baras pehli martaba Dakar  Rally ka ineqad amal mein ladha hai aur wo aalmi satah par apni jo saakh bananay ki koshish mein masroof hai is ziman mein ye ek aur Multi billion Dollar ka sports event hoga. Haliya dono mein Saudi Arab ne mukhtalif shoba jaat mein inqalabi tabdeelian ki hain jis ke sath hi is ne khail ke shoba mein bhaari sarmaya kaari karte hue aalmi satah par khud ko manwane ki koshish ki hai jabkay is ke padosi mumalik mutahidda Arab Emarat aur Qatar ko mukhtalif kheloun mein aalmi satah ki shohrat haasil hai.

Darin asna Saudi Arab Dakar Rally ke zareya khud ko sports ke shoba mein aur khaas karkay khaleeji mumalik ke darmain apni hukmarani saabit karne ke liye koshan hai. 2019 mai Saudi Arbia ne pehli martaba heavy Weight boxing muqaabla bhi munaqqid kiya tha jo ke Joshua  aur Andy  Ruiz ke darmain khela gaya tha. Alawa azeen formula E motor Race bhi guzashta saal Saudi Arab mein munaqqid honay wala ek bada event raha jabkay Tennis ka numaishi Tournament bhi Saudi ke naye abwab mein ek izafah raha.

December mein Cristiano Ronaldo bhi Saudi Arab ka dora kar chukay hain. Yaad rahay ke asia mein pehli martaba Dakar Rally 5 January ko Saudi Arab mein shuru hogi jis mein 62 mulkoun ke 550 se ziyada Race Driver shirkat karenge. Sports general Authority ke chairman shehzada Abdul Aziz Bin Turkey ke mutabiq Dakar Rally 2020 baara marhaloun par mushtamil hogi.

Saudi saraha 7500 kelo meter ka faasla tay kiya jayega. Is mauqa par Saudi Motor aur Motor Cycloun ki organization ke chairman shehzada Khalid Bin Sultan Al faisal bhi mojood rahenge. Guzashta mah shehzada Khalid Al Faisal ne news conference ke douran elaan kiya tha ke Saudi Dakar Rally se mutaliq bain ul aqwami ishtihari muhim ki video duniya ke ahem shehroun Paris , Milan  aur Madrid mein dikhayi jayegi. New York, London aur burj khalifa jaisay mashhoor aalmi maqamat par bhi video dikhaane ka ihtimaam kiya jayega.

Rally ke pehlay marhalay ka aaghaz Jeddah se hoga jo ke mulk ke mukhtalif ilaaqoun se guzraygi. Raba Al Khali se guzarte hue Rally ki aakhri manzil Qiddiya hogi. Rally mein shaamil driver rait aur gankariyoun ke 676 kelo meter taweel ilaqay se guzren ge. Al Ula se Neom taq ka safar bohat mushkil hoga. Qiddiya mein Saudi Dakar Rally 2020 ki ikhtitami taqreeb munaqqid hogi. Car Dakar Rally 5 January 2020 ko shuru hokar 13 dinoun taq jari rehne ke baad 17 January ko ekhtataam pazeer hogi. –YTN STAFF