Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsDakar Rally Ka Saudi Arab Mein Iftitah

Dakar Rally Ka Saudi Arab Mein Iftitah

Riyadh: Saudi arabia ne January 2020 mein honay wali Dakar Rally  ka iftitah kar diya hai jis mein makhsoos qisam ki cars aur motor cycles hissa lengi. tafseelaat ke mutabiq Saudi Arab ki tareekh mein pehli martaba is rally  ka ihtimaam kiya  gaya hai. 9000 kilometer ki is misabaqti rally  ka aaghaz 5th  January 2020 mein Jeddah se hoga .

Is rally  ka guzar raba al khali ke sahrayi raastoon aur pahadi silsilay se hoga. cars aur motor cycles ki yeh race Jeddah se madinah Munawwara , tabook aur haail ke pahari silsilay aur Rub’ al Khali ke sahrayi raasto se guzarte hue Riayadh pohanchegi jahan se asyar region ka rasta iqtiyar karte hue al-qadiyah mein 17 January 2020 ko apni manzil tak puhanchegi. rally  mein shamoliat driveron aur motocycles sawar unke  liye na qabil yaqeen tajurbah hoga. Dakar Rallyt ka ineqad Saudi Arab may kheloun ki taraqqi, sayahat aur Saqafat ko farogh dainay ka zareya aur vision 2030 ka hissa hai .

1978 se ab tak Dakar Rally  ki maizbani ke liye Saudi Arab 30th mulk hai jahan is rally  ka ineqad amal mein araha hai. is silsilay mein al-qadiyah mein munaqidah ek taqreeb mein Saudi Arab ki general sports authority ke chairman shehzada Abdul Aziz Bin Turkey al Faisal ne kaha hai ke hum apne mulk ke sehra unke sath sath yahan ke qudrati husn, riwayaat aur qadron se duniya ko roshnaas karwana chahtay hain .

Saudi arab ke muqami media ke mutabiq al-Qadiiyah mein maizbani ke ineqad ki shandaar taqreeb mein shaamil Dakar Rally  ke 2 martaba ke Champion spin ke Carlos senz ne 2020 may Saudi Arab mein Dakar Rally  ke ineqad ke imkanaat par khushi ka izahaar kartay hue ek martaba phir is mein shandaar karkardagi dikhaane ka azm kiya  hai. Dakar Rally ki Saudi arab ki maizbani ka maqsad is Rally mein shaamil drivers aur Motor cycles sawaron ke zariye yaha unke na qabil faramosh qudrati manazir  ko Duniya ke samnay ujagar karna hai. Is race ka ehtimaam na sirf Saudi Arab balkay duniya bhar mein is qisam ki Rally ko pasand karne walon ke liye hai . –YTN STAFF