Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaDaghdar umeedwaroun ki tafseelaat faraham karne Supreme Court ki Hidayat

Daghdar umeedwaroun ki tafseelaat faraham karne Supreme Court ki Hidayat

New Delhi: Supreme Court ne ek ahem faislay mein siyasi jamaatoun ko Hidayat di ke woh mujremana pas manzar walay umeedwaron ki fehrist aur muntakhib honay ka sabab apni apni Websites par upload karen. justice RF Nariman aur justice S Ravindar Bhatt ki bench ne BJP leader Ashwani kumar aur ram babu sharmaa ki tauheen-e-adalat ki darkhwast par yeh hukum diya.

Adalat ne un Hidayat par amal nah kiye janay par election commission ko is baat ki ijazat di hai ke woh siyasi partiyon ke khilaaf ye maloomat adalat ko aagah karwaye. siyasat ka jaraim zada honay se roknay ke liye adalat ne siyasi partiyon ke liye rehnumaiyana qawaid jari kiye hain. adalat ne kaha ke guzashta 4 aam intikhabaat mein siyasat mein jaraim taizi se badha hai. is ke mutabiq agar siyasi partiyon ki taraf se mujremana pas manzar ke shakhs ko ticket diya jata hai to is ke jaraim ki tafseelaat party ki Website par aur social media par dega. sath hi inhen yeh bhi batana hoga ke kisi be daagh ko ticket kyun nahi diya gaya ?

Adalat e uzma ne umeedwaron par darj fouj dari muqadmaat ki maloomat akhbarat, new channels aur social media par bhi namzadgi honay ke 48 ghantoun ke andar shaya karne ki Hidayat di hai aur agar siyasi party aisa nahi karti hai to election commission is ki maloomat Supreme Court ko dega. -YTN STAFF