Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsDaesh se talluq ka ilzaam, Saudi ka Turkey aur Shaam ki Company...

Daesh se talluq ka ilzaam, Saudi ka Turkey aur Shaam ki Company aur afraad ko Black List

Riyadh: Saudi Arab ney dehshat gard tanzeem Daesh se talluq ke ilzaam mein Turkey aur Sham mein 6 Banking companiyoun aur shaksiaat ko Black List mein shaamil kiya hai. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq reyasti salamti ke idaray nay dehshat gardi ki funding ke insidaad ke liye 6 mulkoun ke taawun se Turkey aur Sham mein 3 Banking companiyon ko black list kardiya. Un companiyon ney Daesh tanzeem ko raqum transfer ki theen. Un mein Turkey aur Sham ki al-Haram Exchange aur Al al-Khalidi Exchange companian shaamil hain jabkay Tawasul  company aur Naja tanzeem baraye samaji nighdasht shaamil hain.

Samaji tanzeem nijaat ko Daesh ki sar garmioun ki madad ke liye unwan ke tor par istemaal kiya jaraha tha. SPA ke mutabiq Al-Haram sarafa company, Tawasul company, Al-Khalidi company, Abdul Rehman  Ali Husayn al-Ahmad al-Rawi, Nijah tanzeem baraye samaji nighdasht aur is ke director Sayed Habib Ahmad Khan ko Black List kiya gaya hai. Daesh tanzeem ki maali madad aur saholatoun ki farahmi menia 6 naam numaya hain.

Turkey aur Sham mein 3 maliyati khidmaat faraham karne wali companiyon ne Daesh tanzeem ke qaideen aur Sham mein mojood is ke jangjoon ke liye raqum ki tarseel mein kalidi kirdar aada kiya. Abdul Rahman Ali Hussain Al Ahmed Al Rawi Daesh ko maali sahulatoun ki farahmi mein bada naam hain. Daesh ne un ka intikhab 2017 mein kiya tha. Report mein bataya gaya hai ke Nijah tanzeem baraye samaji nighdasht ka head quarter Afghanistan mein hai. Is ke director Sayed Habib Ahmad Khan ne Khorasan mein Daesh ki sar garmioun mein madad aur tarseel zar ke liye tanzeem ko istemaal kiya.

Yaad rahay ke insidaad e dehshat gardi markaz ney 2017 mein apne qiyam ke baad se duniya bhar mein 60 se ziyada dehshat gard shakhsiyatioun aur idaroun ke khilaaf 5 marhaloun mein zumra bandi ka kaam injaam diya. Is ke tehat Daesh is ke mutaleqeen, Al Qaeda, Irani pasdaran inqilab, Labnani Hizabullah aur Taliban par nazar rakhi gayi.

 

Insidaad e dehshat gardi funding markas ne zumra bandi ke tavassut se mazeed idaroun aur shakhsiyatioun ko black list kere taa ke Daesh ki fundnig ko moattal kiya jasakay aur mukhtalif unwanoun se ki janey wali sar garmioun ki salahiyat tabah ki ja sakay. Insidaad e dehshat gardi juraim o funding ke qanoon ke bamujab un idaroun aur shakseyatoun ke tamam asasay munjamad kardiye jayen ge jabkay un mein se kisi ke sath bhi bil wasita ya balawastah lain deen jurm tasawwur hoga.