Hyderabad : Aap ke ghar ya daftar mein peene ka pani jin Dabboun ke zariye faraham kiya jata hai kiya aap ne kabhi ghour kiya hai yeh pani kitna mehfooz, sahet bakhash aur shafaaf hai. jee haan agar aap ne kabhi is taraf tavajja nahi di hai to ab aap ko hooshiyar honay ki zaroorat hai aur aap ke ghar ya daftar mein faraham kiya jane wala pani ka dabba kitna mehfooz aur is mein faraham kiya jane wala pani kitna shafaaf hai iska muaina karna bhi zurori hai kyunkay ke GHMC ke hukkaam ki janib se yeh intibah diya gaya hai ke shehar hyderabad mein jo pani Dabboun ke zariye faraham kiya ja raha hai is ki shafafiyat aur behtar honay par sawalia nishaan hai.
GHMC ke food safety ohdedaroun ke mutabiq agar shehar hyderabad mein pani sarbarah karne walay 1000 plant ka tajzia kiya jaye to is mein 30 bhi aisay plant nahi hain joke kargard licence ke zariye pani faraham kar rahay hain aur nah hi yeh plant pani ke sahet bakhash aur shafaaf honay ki tamam sharait ki takmeel karte hain.
Pani faraham karne ke liye plant ke qiyam ke liye jo bunyadi aur ahem sharait hain, un mein sab se pehlay to plant ke qiyam ke liye revenue department se ijazat lena zurori hota hai aur jab ek martaba ijazat mil jaye to water plant ke liye ek Microbiology lab ka qiyam bhi zurori hai aur is lab mein ek microbiologist ka hona bhi zurori hai jo-ke har waqt pani ki shafafiyat aur sahet bakhash honay ka muaina karta rahay.
water plant ke liye licence ke alawa Bureau Of Indian Standard se bhi certificate haasil karna laazmi sharait mein shaamil hai. un tamam bunyadi sharait ke bawajood GHMC ke hukkaam nay wazeh kiya hai ke ek hazaar se zayed agar water plants ka tajzia kiya jaye to is mein 30 aisay plants bhi nahi mileinge jo ke licence Yafta aur aur certificate Yafta honge.
Licence ke husool aur har saal iski tajdeed ka sab se bada masla yeh hai ke har saal certificate ki tajdeed ke liye dhai laakh rupay ada karne padte hain. shehar hyderabad mein dabon ke zariye faraham kiye jaane walay pani ki shafafiyat aur iske sahet bakhash honay ko yaqeeni bananay ke liye koi nizaam mojood nahi hai kyunkay ek janib jahan ghair qanooni water plants par qaboo panay ke liye koi tareeqacar nahi hai to doosri janib naaqis aur nakara pani faraham karne ke khilaaf awam ko shikayat karne aur unki shikayat ki eksoi ke liye bhi koi tareeqacar mojood nahi hai. –YTN STAFF