Seoul: Janoobi Korea ke ek music group se wabasta ek aur fankara ne haal hi mein khudkushi kar li. Taqtishkar is pehlu par ghhor kar rahay hain ke aaya is gulukarah ki khudkushi cyber harasani ka nateeja to nahi kyun kay maana ja raha hai ke online harasan kiye janey ke baad gulukarah ne khudkushi kar li.
Janoobi Korea mein cyber harasani ki shiddat ka andaza is se lagaya ja sakta hai ke guzashta baras is noiyat ke daidh Lakh ke qareeb waqeat pesh aeye they. Police ka khayaal hai ke ye tadaad cyber harasani ke waqeat ki asal tadaad ka mehez ek qaleel hissa hai. Is zimn mein aam logoun ke sath awaami maqboliat ke haamil afraad ki tarbiyat bhi bohat zarori ho gayi hai taa ke wo apne aap ko online hamloun se bacha saken.
Haal hi mein janoobi Korea mein Pop music Industry se talluq rakhne wali ek fankara ne khudkushi kar li. Ek mahine ke douran ye is mulk mein kisi fankar ki khudkushi ka dosra waqea hai. Pehli khudkushi bhi ek khatoon ne hi ki thi. Police ke mutabiq un nojawan khawateen Artists ki khudkushi ki wajohaat mein online kirdaar kashi aur cyber harasani sab se ahem hain. Janoobi korea police par tashaddud online rawaiyon ( Cyber Violance ) ko sangeen juraim mein shumaar karti hai.
Janoobi korea dar-ul-hakoomat Seoul ki metropolitan police ke cyber crimes wing se wabasta ek ohdedar ka khayaal hai ke barah-e-raast jismani tashadud ke nateejay mein ilaaj mualjay se majrooh shakhs to sahet yab ho jata hai lekin cyber tashadud ki soorat mein mutasirah afraad ki madad intahi mushkil hoti hai.
Korean Pop gulukarah Goo Hara apne flat par murda haalat mein payi gayi. Un ki lash ke paas se ek tehreer bhi mili thi, Jis mein unhoun ne apni jaan laine ka zikar kiya tha. Haath se likhi hui is tehreer mein is fankara ne wazeh kiya hai ke ussay ek saathi fankar ke sath taluqaat ke tanazur mein intahi ziyada harasan kiya ja chuka tha aur is ki bardasht khatam ho gayi thi.
Khudkushi karne wali fankara Goo Hara ki dosti rawan baras October mein khudkushi karne wali ek aur fankara Sulli ke sath thi. Sulli janoobi Korea mein cyber harasani ke khilaaf aawaz buland karne waloun mein shumaar ki jati theen. Is muhim ke douran inhen is hadd tak harasan kiya gaya ke wo sambhal na saken aur apni jaan par khail gayeen. Sulli aur Goo Hara ki 2019 ke wist mein dosti khatam hone ke baad hi un ki cyber harasani ka silsila shuru huwa tha.
Cyber harasani ke tanazur mein rawan baras kayi fankaroun ke ilawa ek baday music producer ko police station talabb kar ke pooch tach bhi ki gayi thi. Is tafteesh ka talluq un afraad ke jism faroshi aur juyye se mobayyana rabtoun se bataya gaya tha. Un fankaroun ka khayaal hai ke cyber harasani ke nateejay mein afwahoun aur zaati hamloun ko rokna taqreeban namumkin hota hai. –YTN STAFF