Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsCrores Ke Tournament Ipl Mein Khiladion Par Lakhoon Ki Barish

Crores Ke Tournament Ipl Mein Khiladion Par Lakhoon Ki Barish

Hyderabad: Itwaar aur peer ki darmiyani shab IPL ka 12th season sansani khaiz muqablay ke baad ekhtataam pazeer hua . daidh mah tak jari is tournament  mein jeet ka sehra Mumbai Indians ke sir aaya. final mein unhon ne chennai super kings  ko ek run se shikast day kar record chowthi martaba yeh trophy apne naam ki. is se qabal mazkoorah dono Teams  3-3 baar trophy jeet chuki theen. Mumbai ne pehlay batting karte hue chennai ke samnay 150 runs ka hadaf rakha lekin chennai ki team muqarara 20 overs mein sirf 148 runs hi bana saki. match mein sab se ziyada mehngay saabit honay walay Srilanka ke fast bowler Lasith Malinga ne aakhri over mein apne saaray tajarbaat istemaal kar ke matlooba 9 runs bananay nahi diye .

Australia ke all rounder Shane Watson aakhri over may  run out hoye lekin unhon ne match mein sab se ziyada runs banaye. IPL mein jahan khiladion ko badi qeematon per qareed jata hai wahein tournament  ke douran har match mein mukhtalif qisam ke awards diye jatay hain. aam tor par cricket mein Man of the match aur Man of the series ka award diya jata hai lekin yahan un awards ke alawa perfect catch, super striker, stylish player, game changer awards bhi hain. un sab ke liye ek ek laakh ki raqam har match mein di jati hai. IPL ke ekhtataam par Emerging player of the tournament  ka award diya jata hai jis ke sath das laakh rupay bhi inaam mein diye jatay hain. yeh khiladi TV mubasireen aur IPL ki Website par awaami vote ki bunyaad par muntakhib kiya jata hai .

Rawan saal KKR  ke Shumbhman gill ko is aizaz se nawaza gaya hai. tournament mein sab se ziyada runs bananay walay batsman ko orange  cap ke sath 10 laakh rupay bhi diye jatay hain. rawan saal SRH ke liye khailnay walay David Warner ko yeh aizaz mila hai. unhon ne tournament  mein sab se ziyada 692 runs banaye jis mein 8 nisf centuria aur ek century shaamil hain. is se qabal bhi woh orange cap jeet chuke hain. tournament  mein sab se ziyada wickten lainay walay khiladi ko purple cap ke sath das laakh rupay diye jatay hain. is daudh mein Dehli capitals ke liye khailnay walay junoobi African khiladi Kagiso rabada sab se agay they lekin woh darmiyan mein hi tournament  se chalay gaye aur final mein chennai super kings  ke liye khailnay walay dosray janoobi africi khiladi Imran taher ne do wickten le kar sab se ziyada 26 wickten haasil kee aur is keep ke mustahiq kehlaye .

Is tournament  mein sab se ziyada qeemti khiladi ka award bhi diya jata hai. yeh aisay khiladi ko milta hai jis ne tournament  ke douran sab se ziyada points haasil kiye hon. yeh points chokay, chhakay, wicket, dot ball, catch, stump waghera ki bunyaad par diye jatay hain. most valuable player ko trophy ke sath das laakh rupay bhi diye jatay hain. rawan saal KKR ke liye khailnay walay west indies ke khiladi Andre Russell ko yeh award mila. unka award Shubhman gill ne haasil kya kyunkay woh KKR ke tournament  se bahar honay ke baad apne mulk ko lout chuke they. IPL ke douran sab se shandaar catch pakadney walay khiladi ko bhi award diya jata hai. rawan season mein bohat se behtareen catch pakdae gaye jin mein railay catch bhi shaamil they lekin yeh award Mumbai Indians ke liye khailnay walay west indies ke cricketer Kieron Pollard ko mila .

Andre Russel ko hi super striker player of the tournament  ka award mila jis ke sath unhein ek car aur ek laakh rupay diye gaye. unhon ne tournament  mein 510 runs banaye, 11 wickten len aur sab se ziyada 52 chhakay bhi lagaye. stylish player of the tournament  ka award kings  XI Punjab ke khiladi KL Rahul ko diya gaya. yeh award un ki jagah unke dost Hardik pandya ne haasil kya. is aizaz ke sath bhi das laakh rupay diye jatay hain. pitch aur ground awards mein jis stadium ne saat se ziyada matches ki maizbani ki hoti hai unhein 50 laakh rupay diye jatay hain aur jinhon ne saat se kam matches munaqqid kurwaye unhein 25 laakh rupay diye jatay hain. dream eleven game changer of the  tournament  ka aizaz Mumbai Indians ke Rahul chahar ko mila .

Iske sath unhein das laakh rupay ka inaam bhi diya gaya. final mein mean of the match ka award Mumbai Indians ke Jasprit Bumrah ko diya gaya jis ke sath unhein paanch laakh rupay bhi miley. har match mein mukhtalif qisam ke paanch awards diye jatay hain jo ek ek laakh par mabni hotay hain is tarhan khiladion ko har match mein paanch laakh inaam mlitay hain. IPL ke rawan tournament  mein majmoi tor par 60 matches khailay gaye jis mein 56 matches league ke they aur teen Play off aur ek final. is tarhan tamam matches mein milnay wali majmoi raqam teen crore rupay se zara ziyada hui kyunkay Play of ke matches mein Man of the match ko ek laakh ke bajaye paanch paanch laakh rupay diye jatay hain .

Is tarhan dekha jaye to khiladion ki match fees ke alawa final mein milnay walay inamaat ki majmoi raqam taqreeban 38 crore hindustani rupay hoti hai. IPL jeetnay wali team ko 20 crore rupay miley. qaiday ke mutabiq, is raqam ka nisf hissa team ke malkaan ko jata hai jabkay baqi nisf ko khiladion mein taqseem kiya jata hai. IPL ke final mein harnay wali team yani runners up ko 12.5 crore rupay miley aur yahan bhi raqam ki taqseem ka wohi qaida hai . -YTN STAFF