Saturday, May 18, 2024
HomeSliderCristiano Ronaldo aur Dustin Johnson Corona se mutasir

Cristiano Ronaldo aur Dustin Johnson Corona se mutasir

Madrid: Football ke maroof khiladi aur 5 martaba ke Ballon d’Or Award yafta Cristiano Ronaldo aur Golf ki aalmi darja bandi mein pehlay maqam par mojood Dustin Johnson corona mein mubtala ho gaye hain. Is pesh raft ke baad yeh behas bhi shuru ho gayi hai ke bain ul aqwami satah par khail kitney mehfooz hain.

Mossola it-tila-aat ke mutabiq Cristiano Ronaldo mein is wabai marz ki koi alamaat nahi hain. Woh National League Tournament mein Sweden ke khilaaf football match mein apne mulk Portugal ki numaindagi karne walay thay taham ab woh is match mein hissa nahi len ge. Aakhri martaba woh guzashta etwaar ko France ke khilaaf maidan mein utre thay. Portugal ki qaumi team ke Coach Fernando Santos ne media se kaha hai ke intizamia ne tamam qawaid-o-zawabit ka khayaal rakha tha taham phir bhi Ronaldo is virus ka shikaar hogaye. Portugal aur France ki team ke tamam arkaan ke test kurwaye gaye aur kisi bhi deegar khiladi mein virus ki tashkhees nahi hui.

Darin asna golfer Dustin Johnson ka corona test bhi misbet aaya hai. Nateejatan 36 sala Johnson is haftay Americi shehar Las Vegas mein honay walay CJ Cup se baher ho gaye hain. Un dinon chouti ke khiladion ke Corona virus mein mubtala honay ke baad is baray mein behas shuru hogayi hai ke aaya khiladion ko apni apni qaumi teamon ke numaindagi ke liye’ bio-secure bubble chod kar jana chahiye ya nahi. Ronaldo un dinon Itali Club Units ka hissa hain. Is Club ke aur kayi footballer bhi apne apne mumalik ki teams ke matches mein shirkat ke liye’ bio-secure bubble chhodh kar ja chuke hain. Club hukkaam ne is amal ko Protocol ki khilaaf warzi qarar diya hai.

Taham England ki football team ke manager Gareth Southgate ne bain ul aqwami muqablon ke ineqad aur un mein khiladion ki shirkat ka difaa kiya hai. Un ke bakol is waqt sorat-e-haal kuch aisi hai ke qawaneen wazeh nahi. Un dinon har haftay faislay karne hon ge. Aisay mein koi juwaz nahi ke deegar khelon ke muqablay mein bain ul aqwami football ziyada khatarnaak hai.