Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderCricketer Dean Jones ki Heart Attack se mout

Cricketer Dean Jones ki Heart Attack se mout

Mumbai: Cricket halqon ke liye yeh khabar heran kun aur mayoos kardainay wali hai jaisa ke duniya bhar mein cricket ke mahdanon mein maroof shakhsiyat Cricketer Dean Jones ab is duniya mein nahi rahay. Australia ke sabiq Cricketer Dean Jones Mumbai mein Heart Attack dil ka dora padney ke baad inteqaal kargaye hain. Woh rawan IPL Tournament ki wajah se Hindustan mein muqeem thay.

Sabiq batsman ki omar 59 baras thi. Apne daur ke behtareen batsmanon mein shumaar kiye jane walay Dean ka poora naam Dean Mervyn Jones hai aur woh 24 october 1961 ko Australia ke maroof shehar Melbourne ke ilaqay Coburg mein peda hue. Jones ka shumaar 1980 aur 1990 ke arsa ki cricket ke behtareen khiladion mein hota hai. Apne daur mein shandaar cricket khailnay tak hi khud ko mehdood nahi rakha balkay subuk doshi ke baad woh cricket Misbar aur coach ki hesiyat se cricket se wabasta rahay. Unhoun ne apne Career mein Australia ki 52 test mein numaindagi karne ke sath 3631 runs banaye. Apne career ke douran unhoun ne 11 Century bhi banai hain. Unhoun ne 164 One Day muqablon bhi apni team ki numaindagi ki thi aur iss douran unhoun ne 6063 runs banaye jis mein 7 centuries aur 46 nisf centuria shaamil hain.

Jones ke Career mein waisay to kayi yadgar inning mojood hain lekin inhen Hindoustan ke shehar Madras mein kheli gayi Inning ke liye hamesha yaad rakha jaye ga. 1986-87 season ke douran Jones ne Madras test mein 210 runs banaye thay lekin inhen un runs se ziyada un ki is muqablay mein sehat ke liye yaad rakha jaye ga kyunkay is Inning ke taweel honay ki wajah se Jones ki sehat beggad gayi thi. Is Inning ke douran inhen qay honay ke ilawa chakkar bhi aayi thi. Shayad thakaan ki wajah se un ki aisi haalat hui thi jis par inhen dawakhana bhi muntaqil kiya gaya tha.